dukh fasana nahin ke tujh se kahen
dil bhi maana nahin ke tujh se kahen
aaj tak apni bekali kaa sabab
Khud bhi janaa nahin ke tujh se kahen
ek tu harf-e-aashna thaa magar
ab zamanaa nahin ke tujh se kahen
be-tarah dil hai aur tujh se
dostaana nahin ke tujh se kahen
ai Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost
aab-o-daana nahin ke tujh se kahen

Writer