dil hi to hai na Sang-o-KHisht dard se bhar na aae kyun
roenge hum hazar bar koi hamen satae kyun
dair nahin haram nahin dar nahin aastan nahin
baiThe hain rahguzar pe hum ghair hamen uThae kyun
jab wo jamal-e-dil-faroz surat-e-mehr-e-nim-roz
aap hi ho nazzara-soz parde men munh chhupae kyun
dashna-e-ghamza jaan-satan nawak-e-naz be-panah
tera hi aks-e-ruKH sahi samne tere aae kyun
qaid-e-hayat o band-e-gham asl men donon ek hain
maut se pahle aadmi gham se najat pae kyun
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bul-hawas ki sharm
apne pe etimad hai ghair ko aazmae kyun
wan wo ghurur-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas-e-waza
rah men hum milen kahan bazm men wo bulae kyun
han wo nahin KHuda-parast jao wo bewafa sahi
jis ko ho din-O-dil aziz uski gali men jaae kyun
ghaalib-e-KHasta ke baghair kaun se kaam band hain
roiye zaar zaar kya kijiye haae haae kyun

Writer