ye qalam kisi ka ghulam hai

Wohi taaj hai wohi takht hai wohi zahr hai wohi jaam hai
Ye wohi khuda ki zameen hai ye wohi buton ka nizaam hai
Bade shauq se mera ghar jala koi aanch tujh pe na aayegi
Ye zaban kisi ne khareed li, ye qalam kisi ka ghulam hai
Yahan eik bachche key khoon se jo likha hua hai use padhein
Tera keertan abhi paap hai abhi mera sajda haraam hai
Main ye manta hun mere diye teri aandhiyon ne bujha diye
Magar eik jugnu hawaon mein abhi roshni ka imaam hai
Mere fikr-O-fan teri anjuman na urooj tha na zawaal hai
Mere lab pe tera hi naam tha mere lab pe tera hi naam hai
Bashir Badr

Writer