aflak se aata hai nalon ka jawab aaKHir
karte hain KHitab aaKHir uThte hain hijab aaKHir
ahwal-e-mohabbat men kuchh farq nahin aisa
soz o tab o tab awwal soz o tab o tab aaKHir
main tujhko batata hun taqdir-e-umam kya hai
shamshir o sinan awwal taus o rabab aaKHir
mai-KHana-e-europe ke dastur nirale hain
late hain surur awwal dete hain sharab aaKHir
kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri
ho jate hain sab daftar gharq-e-mai-e-nab aaKHir
KHalwat ki ghaDi guzri jalwat ki ghaDi aai
chhuTne ko hai bijli se aaghosh-e-sahab aaKHir
tha zabt bahut mushkil is sail-e-maani ka
kah Dale qalandar ne asrar-e-kitab aaKHir

Writer