khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Duub jaun to koi mauj nishan tak na batae 
aisi naddi men utar jaane ko ji chahta hai 

kabhi mil jaae to raste ki thakan jaag pade 
aisi manzil se guzar jaane ko ji chahta hai 

vahi paiman jo kabhi ji ko khush aaya tha bahut 
usi paiman se mukar jaane ko ji chahta hai 

Writer