Wo shahr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar bananay ko ji chahta hai

Jahan se Muhammad ka guzra hua ho
Woh raasta chumnay ko ji chahta hai

Jahan unke qadmon ke nishan mil gaye ho
Woh mitti sajaday ko ji chahta hai

Wo masjid hai jis mein Nabi gaye honge
Wahan sar jhukanay ko ji chahta hai

Wo Roza hai jahan Arsh ka sayah hai
Wahan sar jhukanay ko ji chahta hai

Jo basti Madinay ki basti hai pyari
Wahan dil laganay ko ji chahta hai

Wo sheher-e-madina hai gulshan Nabi ka
Wahan khud mitanay ko ji chahta hai

Deep jis ka mahalat hi mein jale
Chand logon ki khushiyon ko le ke chale
Woh jo saaye mein har maslehat ke pale
Aisay dastoor ko, subah be-noor ko
Main nahin maanta, main nahin jaanta

Main bhi khaif nahin takhta-e-dar se
Main bhi Mansoor hoon, keh do aghyar se
Kyun darate ho zindan ki deewar se?
Zulm ki baat ko, jahl ki raat ko
Main nahin maanta, main nahin jaanta

Phool shakhoon pe khilne lage tum kaho
Jaam rindon ko milne lage tum kaho
Chaak seenon ke silne lage tum kaho
Is khule jhoot ko, zehan ki loot ko
Main nahin maanta, main nahin jaanta

Tum ne loota hai sadiyon hamara sukoon
Ab na hum par chale ga tumhara fusoon
Chara gar main tumhara nahin chara hoon
Jhoot ke qafle, zulm ke saathiyo
Main nahin maanta, main nahin jaanta

Yeh daagh daagh ujaala, yeh shab-gazeeda sahar
Woh intezaar tha jiska, yeh woh sahar to nahin

Yeh woh sahar to nahin jis ki aarzoo lekar
Chale the yaar ke mil jaayegi kahin na kahin
Falak ke dasht mein taaron ki aakhri manzil
Kahin to hoga shab-e-sust mauj ka saahil

Kahin to jaa ke rukega safina-e-gham-e-dil
Jawan lahu ki pur-asraar shahraahon se
Chale hain sard subaahon ke soonay damaan mein
Na hum to khush, na qareeb-o-baam-e-manazil hi

Nazaar kaar hi apni rawish se baaz aaye
Jahan mein hai, jahan-e-dil-o-naigaah kahaan
Woh intizaar tha jiska, yeh woh sahar to nahin

Yeh woh sahar to nahin jis ki aarzoo lekar
Chale the yaar ke mil jaayegi kahin na kahin

Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang
Main ne samjha tha ke tu hai to darakhshan hai hayat
Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagra kya hai
Teri soorat se hai aalam mein baharon ko sabaat
Teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai?
Tu jo mil jaaye to taqdeer niguun ho jaaye
Yoon na tha, main ne faqat chaaha tha yoon ho jaaye

Ek teri khaatir se duniya ko sanwaara hum ne
Ek teri khaatir se duniya ko bhulaaya hum ne
Zindagi juz tere aazaar ke kuch bhi na thi
Yeh bhi maana ke mohabbat mein hai ruswaai bhi
Dil ko behlaane ke khaatir yeh khayaal achha hai

Magar ab zindagi aur bhi dukh deti hai
Rang o khushboo sabhi dagha dete hain
Ab bhi dilkash hai tera husn, magar kya keeje
Aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siwa
Raahatain aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa

Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang

Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao
Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao

Bayabaan o chaman par teh ba teh zulmat ka pehra hai
Darindon ke kahin bhatt hain, kahin saanpon ka dera hai
Andhera laakh roshan ho, andhera phir andhera hai
Na dar dar thokrein khao, ujaale ki taraf aao

Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao
Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao

Ghanee tareekiyon ka ab na jaadoo chalne wala hai
Shabistan-e-adawat mein mohabbat ka ujala hai
Hira ka noor le kar aage aage Kamli wala hai
Safeer-e-noor ban jao, ujaale ki taraf aao

Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao
Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao

Palangon se kaho guzra zamana gosaifandi ka
Mila hai dars hum ko Mustafa se dardmandi ka
Zamana muntazir hai phir nai shiraza bandi ka
Chalo tayyar ho jao, ujaale ki taraf aao

Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao
Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao

Baghawat chhod do, Rahman ki rehmat mein aajao
Shafi-e-Hashr ke daaman ki rehmat mein aajao
Basharat se bhare Qur’an ki rehmat mein aajao
Na bhatko aur na bhatkayo, ujaale ki taraf aao

Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao
Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao

Woh jis ki zaat izzat bakhshtee hai kaj kalahon ko
Gadagar jo bana deta hai pal mein baadshahon ko
Bara Rahman hai woh, bakhsh deta hai khataon ko
Na pachtayo na ghabrayo, ujaale ki taraf aao

Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao
Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao

Tawi ki zulmatein hain, tum chiraagh-e-Toor ho jao
Sitam ki aandhiyan hain, tum Hira ka noor ho jao
Sharab-e-Ahmad-e-Mukhtar se makhmoor ho jao
Jahan mein noor phailao, ujaale ki taraf aao

Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao
Sehar ka noor ban jao, ujaale ki taraf aao

Sarfaraz Bazmi

मिरे ग़नीम ने मुझ को पयाम भेजा है
कि हल्क़ा-ज़न हैं मिरे गिर्द लश्करी उस के

फ़सील-ए-शहर के हर बुर्ज हर मनारे पर
कमाँ-ब-दस्त सितादा हैं अस्करी उस के

वो बर्क़ लहर बुझा दी गई है जिस की तपिश
वजूद-ए-ख़ाक में आतिश-फ़िशाँ जगाती थी

बिछा दिया गया बारूद उस के पानी में
वो जू-ए-आब जो मेरी गली को आती थी

सभी दुरीदा-दहन अब बदन-दरीदा हुए
सपुर्द-ए-दार-ओ-रसन सारे सर-कशीदा हुए

तमाम सूफ़ी ओ सालिक सभी शुयूख़ ओ इमाम
उमीद-ए-लुत्फ़ पे ऐवान-ए-कज-कुलाह में हैं

मोअज़्ज़िज़ीन-ए-अदालत भी हल्फ़ उठाने को
मिसाल-ए-साइल-ए-मुबर्रम नशिस्ता राह में हैं

तुम अहल-ए-हर्फ़ कि पिंदार के सना-गर थे
वो आसमान-ए-हुनर के नुजूम सामने हैं

बस इक मुसाहिब-ए-दरबार के इशारे पर
गदागरान-ए-सुख़न के हुजूम सामने हैं

क़लंदरान-ए-वफ़ा की असास तो देखो
तुम्हारे साथ है कौन आस-पास तो देखो

सो शर्त ये है जो जाँ की अमान चाहते हो
तो अपने लौह-ओ-क़लम क़त्ल-गाह में रख दो

वगर्ना अब के निशाना कमान-दारों का
बस एक तुम हो सो ग़ैरत को राह में रख दो

ये शर्त-नामा जो देखा तो एलची से कहा
उसे ख़बर नहीं तारीख़ क्या सिखाती है

कि रात जब किसी ख़ुर्शीद को शहीद करे
तो सुब्ह इक नया सूरज तराश लाती है

सो ये जवाब है मेरा मिरे अदू के लिए
कि मुझ को हिर्स-ए-करम है न ख़ौफ़-ए-ख़म्याज़ा

उसे है सतवत-ए-शमशीर पर घमंड बहुत
उसे शिकोह-ए-क़लम का नहीं है अंदाज़ा

मिरा क़लम नहीं किरदार उस मुहाफ़िज़ का
जो अपने शहर को महसूर कर के नाज़ करे

मिरा क़लम नहीं कासा किसी सुबुक-सर का
जो ग़ासिबों को क़सीदों से सरफ़राज़ करे

मिरा क़लम नहीं औज़ार उस नक़ब-ज़न का
जो अपने घर की ही छत में शिगाफ़ डालता है

मिरा क़लम नहीं उस दुज़द-ए-नीम-शब का रफ़ीक़
जो बे-चराग़ घरों पर कमंद उछालता है

मिरा क़लम नहीं तस्बीह उस मोबल्लिग़ की
जो बंदगी का भी हर दम हिसाब रखता है

मिरा क़लम नहीं मीज़ान ऐसे आदिल की
जो अपने चेहरे पे दोहरा नक़ाब रखता है

मिरा क़लम तो अमानत है मेरे लोगों की
मिरा क़लम तो अदालत मिरे ज़मीर की है

इसी लिए तो जो लिक्खा तपाक-ए-जाँ से लिखा
जभी तो लोच कमाँ का ज़बान तीर की है

मैं कट गिरूँ कि सलामत रहूँ यक़ीं है मुझे
कि ये हिसार-ए-सितम कोई तो गिराएगा

तमाम उम्र की ईज़ा-नसीबियों की क़सम
मिरे क़लम का सफ़र राएगाँ न जाएगा

 

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

vo barq lahar bujha di gai hai jis ki tapish
vajud-e-ḳhak men atish-fishan jagati thi

bichha diya gaya barud us ke paani men
vo ju-e-ab jo meri gali ko aati thi

sabhi durida-dahan ab badan-darida hue
supurd-e-dar-o-rasan saare sar-kashida hue

tamam suufi o salik sabhi shuyuḳh o imaam
umid-e-lutf pe aivan-e-kaj-kulah men hain

moazzazin-e-adalat bhi half uThane ko
misal-e-sail-e-mubarram nashista raah men hain

tum ahl-e-harf ki pindar ke sana-gar the
vo asman-e-hunar ke nujum samne hain

bas ik musahib-e-darbar ke ishare par
gada-garan-e-suḳhan ke hujum samne hain

qalandaran-e-vafa ki asaas to dekho
tumhare saath hai kaun as-pas to dekho

so shart ye hai jo jaan ki amaan chahte ho
to apne lauh-o-qalam qatl-gah men rakh do

vagarna ab ke nishana kaman-daron ka
bas ek tum ho so ghairat ko raah men rakh do

ye shart-nama jo dekha to elchi se kaha
use ḳhabar nahin tariḳh kya sikhati hai

ki raat jab kisi ḳhurshid ko shahid kare
to subh ik naya suraj tarash laati hai

so ye javab hai mera mere adu ke liye
ki mujh ko hirs-e-karam hai na ḳhauf-e-ḳhamyaza

use hai satvat-e-shamshir par ghamanD bahut
use shikoh-e-qalam ka nahin hai andaza

mira qalam nahin kirdar us muhafiz ka
jo apne shahr ko mahsur kar ke naaz kare

mira qalam nahin kaasa kisi subuk-sar ka
jo ghasibon ko qasidon se sarfaraz kare

mira qalam nahin auzar us naqab-zan ka
jo apne ghar ki hi chhat men shigaf Dalta hai

mira qalam nahin us duzd-e-nim-shab ka rafiq
jo be-charagh gharon par kamand uchhalta hai

mira qalam nahin tasbih us maballigh ki
jo bandagi ka bhi har dam hisab rakhta hai

mira qalam nahin mizan aise aadil ki
jo apne chehre pe dohra naqab rakhta hai

mira qalam to amanat hai mere logon ki
mira qalam to adalat mere zamir ki hai

isi liye to jo likkha tapak-e-jan se likha
jabhi to loch kaman ka zaban tiir ki hai

main kaT girun ki salamat rahun yaqin hai mujhe
ki ye hisar-e-sitam koi to giraega

tamam umr ki iza-nasibiyon ki qasam
mere qalam ka safar raegan na jaega

sarisht-e-ishq ne uftadgi nahin paai
tu qadd-e-sarv na biini o saya-paimai

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon