der lagi aane men tumko shukr hai phir bhi aae to
aas ne dil ka sath na chhoDa waise hum ghabrae to
shafaq dhanak mahtab ghaTaen tare naghme bijli phool
is daman men kya kya kuchh hai daman hath men aae to
chahat ke badle men hum bech den apni marzi tak
koi mile to dil ka gahak koi hamen apnae to
suni-sunai baat nahin ye apne upar biti hai
phul nikalte hain sholon se chahat aag lagae to
jhuT hai sab tariKH hamesha apne ko dohraati hai
achchha mera KHwab-e-jawani thoDa sa dohrae to
nadani aur majburi men yaro kuchh to farq karo
ek bebas insan kare kya TuT ke dil aa jae to
Andaleeb Shadani

Sach baat maan lijiye chehre pe dhool hai
Ilzaam aainoN pe laganaa fizul hai
Teri nawaazisheN hoN to kaaNTa bhi phool hai
Gham bhi mujhe qubool, Khushi bhi qubool hai
Us paar ab to koi teraa muntazir nahiN
Kacche GhaRe pe tair kar janaa fizool hai
Jab bhi milaa hai zaKhm ka tohfa diyaa mujhe,
Dushman zarur hai wo magar baa-usool hai

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey
Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey
Jagmaga di hain terey shahar ki galiyan main ne
Apney ashkon ko palkon pe sitara karkey
Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey
Aik hi shahar main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

wo silsiley woh shoq woh nisbat nahi rahi
ab zindgi main hijr ki vahshat nahi rahi
toota hai jab se us ki maseeha'i ka telism
dil ko kisi maseeha ki haajat nahi rahi
phir yun hua ke koi shanasaa nahi raha
phir yun hua ke dard main shiddat nahi rahi
phir yun hua ke ho gaya masroof woh bohat
aur hum ko yaad kerney ki fursat nahi rahi

aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
raat bhar dard ki shama jalti rahi
Gham ki lau thartharaati rahi raat bhar
baa.nsuri ki suriili suhaani sadaa
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar
yaad ke chaa.nd dil me.n utarte rahe
chaandni jagmagaati rahi raat bhar
koi divaana galiyo.n me.n phirta rahaa
koi aawaaz aati rahi raat bhar
Makhdoom Mohiuddin

Mujhe apne zabt pe naaz tha, sare bazm raat ye kya hua
Meri aankh kaise chhalak gayi mujhe ranj hai ye bura hua
Meri zindagi ke charagh ka ye andaaz koi nayaa nahin
Kabhi raushni, kabhi teergi, kabhi jalaa hua kabhi bujha hua
Mujhe raaste mein pada hua kisi badnaseeb ka khat mila
Kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansuon se mita hua
Jo nazar bacha ke guzar gaye, mere saamne se abhi abhi
Ye mere sheher ke ke log the mere ghar se ghar mila hua
Mujhe humsafar bhi mila koi, to shikasta haal meri tarah
Kahin raaston ka lutaa hua kahin manzilon ka thaka hua
Mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm-e-khaloos hoon
Na meray pass koi niqab hai, na kuch aasteen main chhupa hua
Mujhay ap kiyun na samajh sakay ye apnay dil se poochiye
Meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula huua

Teri ulfat nay to diwana bana rakha hai,
Aur logo nay bhi afsana bana rakha hai,
Aandhiyaan taiz chalein bujh na sakay ga phir bhi,
Khoon e dil say jo diya hum nay jala rakha hai
Unse khud unki jafaon ka gila kesy karein,
Hum ne aanhon ko bhi seene main daba rakha hai
Woh joh kaatil hai situmgar hai mohabbat ka meri,
Hum ne unwaan e gazal usko bana rakha hai
Ban ke anjaan sar e bazm woh mujh se bolay,
Ishq main kis ke bura haal bana rakha hai
Koun kehta hai tujhko bhool gaya hai dil,
Teri yaad ko to humne emaan bana rakha hai

do jawaN diloN ka gham dooriyaN samajhti haiN
kaun yaad karta hai hichkiyaN samajhti haiN.
tum to khud hi qatil ho tum ye baat kya jano
kyoN hua maiN deewana bediyaN samajhti haiN.
baam se utarti hai jab haseen doshiza
jism ki nazakat ko seediyaN samajhti haiN.
yuN to sair-e-gulshan ko kitne log aate haiN
phool kaun todega daliyaN samajhti haiN.
jisne kar liya dil meiN pehli baar ghar danish
usko meri aaNkhoN ki putliyaN samajhti haiN.

Sar-e-maqtal teri shamsheer bahut yaad aayee
Qaid se choote tou zanjeer bahut yaad aayee
Jab kisi ne mujhe ulfat ki nazar se dekha
Teri aankhon ki woh taseer bahut yaad aayee
Diary mein woh gulabon ko chupa kar rakhna
Aye mohabbat teri jageer bahut yaad aayee
Maine socha hi na tha mil ke bichad jayega
Aina toota tou tasveer bahut yaad aayee
Jab hua khwab e mohabbat ka kabhi zikr yehan
Mujh ko ek khwab. Ki tabeer bahut yaad aayee
Haye woh aana pashema'n sa meri turbat par
Aane wale teri takheer bahut yaad aayee
Soch le phir na kahin kehna pade yeh tujh ko
Bujh gayee Shama tou tanveer bahut yaad aayee

Bheegi hui aankhon ka ye manzar na miley ga
Ghar chhor ke matt jaao kaheen ghar na miley ga
Phir yaad bahut aaye gi zulfon ki ghhani chhaa'un
Jab dhoop mei saya koi sir per na miley ga
Aansoo ko kabhi aoos ka qatra na smajhna
Aisa tumhein chaahat ka samundar na miley ga
Iss khawab ke mahool mei bey-khawab hein aankhein
Jab neend bahut aaye gi bister na miley ga
Ye sooch lo abb aakhri saya hai mohabbat
Iss dar se uttho ge tu koi dar na miley ga