tUjhay IShQ ho0 KHUDA KAray
kOi tUjh kO uS Say JuDa Karay
Teray hont hasna Bhool Jayen
Teri AnKh Pur nam Raha KAray.
Tu uski Baatain Kiya Karay
Tu Uski Batain Suna Karay
Usay dekh kay tu Ro Paray
Woh Nazar Jhuka Kay Chala Karay
Tujhay Hijir ki woh Jhari Lagay
Tu Milnay Ki har Pal dua Karay
Teray Khwuab bikrain toot Kar
Tu Kirchi KirChi Chuna Karay
Tu nagar nagar phira Karay
Tu GAli Gali sadaa Karay
tujhay IshQ ho Phir yaqeen ho
Usay TAsbihon Main Parha Karay

Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain
karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain
woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar sAatein badal jati hain
sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain
chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Duur" bhi
humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain
yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar"chand"dekhoon to meri ratein badal jati hain
mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain

Her kissi ko aas main rekhne ki aadat uss ko thi
werna kyon matloob ghairon ki rafaaqat uss ko thi
kaise ker leta gawara woh meri sansoon ki aanch
in dinon khud apnay saaye se bhi wehshet uss ko thi
hijr ki ik aazmaish se guzer jane ke badh
sari duniya se judai ki shikayat uss ko thi
fasailay ka haq usse hasil tha uss ne ker liya
mujh se kab derkaar koi bhi vazaahet uss ko thi
ik khilona torne ke wastay derkaar tha
ab main samjha kis liye meri zarorat uss ko thi

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila
Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila
Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila
Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila

Na dushmani achi lagi na dosti achi lagi,
Hum ko tou us shakhs ki berukhi achi lagi
Log the is sheher ke saaray hi khush mizaaj,
Dil ko lekin aik teri sanjeedgi achi lagi
Main ne apnay rub say phir maanga usi ko umer bhar,
Jis ki aankho ki mujhe darya dili achi lagi
Bas ana pe naaz tha jis ko na shab bar so saka,
Lamha lamha uski barhti be basi achi lagi
chain aik pal main hi us ke bechar janay kay baad,
Mujh ko apnay hijr ki aik aik ghari achi lagi
Mere daman main raha kuch bhi nahi magar,
Woh rahay khush yeh soch kar zindagi achi lagi.

MERY DIL KI RAKH KURAID MAT USAY MUSKURA KE HAWA NA DAY.
YEH CHIRAG PHIR BHI CHIRAG HAIN,KAHIN TERA HATH JALA NA DAY..
NAYE DAUR KE NAYE KHUWAB HAIN,NAYE MUSAMOUN KE GULAB HAIN.
YE MUHABBATON KE CHIRAG HAIN,INHAY NAFRATOUN KI HAWA NA DAY..
ZARA DEKH CHAND KI PATIYAOUN NAY BIKHER BIKHER KE TAAMAM SHAB.
TERA NAAM LIKHA HAI RAIT PE,KOI LEHAR AKAY UN KO MITA NA DAY..
MAIN UDASIYAN NA SAJA SAKUN,KABHI JISM-O-JAAAN KE MAZAR PER.
NA DEYA JALAIN MERI AANKH MAIN, MUJHAY ETNI SAKHT SAZA NA DAY..
MARAY SATH CHALNAY KE SHAUQ MAIN, BARI DHOOP SER PE UTHAYE GA.
TERA NAK NAQSH HAY MOOM KA,KAHIN GHUM KI AAG GHULLA NA DAY..
MAIN GHAZAL KI SHABNAMI ANKH SE,YEH DUKHON K PHOOL CHUNA KAROUN.
MARI SALTANAT MERA FUN RAHAY,MUJHAY TAJ -O- TAKHT KHUDA NA DAY...

Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain
Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain
Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain
Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain
Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain

main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
sir aaina mera aks hay pas aaina koi aur hay
main kisi kay dast talab main hoon to kisi kay hurf dua main hoon
main naseeb hoon kisi aur ka mujhe mangta koi aur hai
meri roshni teray khad-o-khal say mukhtalif tu nahi magar
tu qareeb aa tujhe dekh loon tu wahi hay ya koi aur hai
tujhe dushmano ki khabar naa thi mujhe doston ka pata nahi
teri dastaan koi aur thi mera waqiyah koi aur hai
kabhi laut aain tu poochna nahi dekhna inahain ghor say
jinhain rastay main khabar howi keh yeh rasta koi aur hai
ho meri riyazaat neem shab ko saleem subah naa mil saki
tu phir is kay mayni tu yeh howe keh yahan khuda koi aur hai

ISHQ ME HUM TUMHEN KIA BATAYEN KIS QADAR CHOT KHAYE HUE HAIN
MOUT NE HUM KO MARA HA AUR HUM ZINDAGI KE SATAYE HUE HAIN
AE LAHAD APNI MITI SE KHA DE DAGH LAGNE NA PAYE KAFAN KO
AAJ HI HUM NE BADLE HAIN KAPDE AAJ HI KE NAHAYE HUE HAIN
DUSHMANO KI SHIKAYAT HA BEJA DOSTON SE GILA KIA KAREN GEN
JHAR CHUKE JIN DARKATON KE PATE PHIR KAHAN UNKE SAYE HUE HAIN
KIA HA ANJAM-E-ULFAT PATANGO JA KE SHAMA KE NAZDEEK DKEHO
KUCH PATANGO KI LASHEN PAREN HAN PAR KISI KE JALAYE HUE HAIN
UN KI TAREEF KIAA POOCHTE HO UMER SARI GUNHAON ME GUZRI
PARSA BAN RAHEN HAIN WOH AISE JAISE GANGA NAHAYE HUE HAIN

Rangat Teri Zulfon Ki Ghataon Ne Churai
Khushbu tere anchal se havaon ne udai
paimane ka dil tut na jaye to kahun main
hai chiz Gazab ki jo nigahon ne pilai
qaidi teri zulfon ka hai azad jahan se
mujh ko ye rihai to sazaon ne dilai
mana ki baharon ne khilaya hai gulon ko
ulfat ki kali dil men vafaon ne khilai
tham-tham ke barasana kabhi jham-jham ke barasana
savan ko ada ye mere ashkon ne sikhai
manzil pe pahunch kar ‘Nasim’ ehasas hua hai
jis rah se pahuncha ye Khataon ne dikhai