Abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanwar lun
Mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine men utar lun
main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua
zara Thahar ja isi moD par tere sath sham guzar lun
agar aasman ki numaishon men mujhe bhi izn-e-qayam ho
to main motiyon ki dukan se teri baaliyan tere haar lun
kahin aur banT de shahr men kahin aur baKHsh de izzaten
mere pas hai mera aaina main kabhi na gard-o-ghubar lun
kai ajnabi teri rah men mere pas se yun guzar gae
jinhen dekh kar ye taDap hui tera nam le ke pukar lun

Wohi taaj hai wohi takht hai wohi zahr hai wohi jaam hai
Ye wohi khuda ki zameen hai ye wohi buton ka nizaam hai
Bade shauq se mera ghar jala koi aanch tujh pe na aayegi
Ye zaban kisi ne khareed li, ye qalam kisi ka ghulam hai
Yahan eik bachche key khoon se jo likha hua hai use padhein
Tera keertan abhi paap hai abhi mera sajda haraam hai
Main ye manta hun mere diye teri aandhiyon ne bujha diye
Magar eik jugnu hawaon mein abhi roshni ka imaam hai
Mere fikr-O-fan teri anjuman na urooj tha na zawaal hai
Mere lab pe tera hi naam tha mere lab pe tera hi naam hai
Bashir Badr
log TooT jaate hain ek ghar banane men
tum taras nahin khate bastiyaaN jalaane men
aur jaam TuuTe.nge is sharaab-Khaane men
mausamon ke aane men mausamon ke jaane men
har dhaDakte patthar ko log dil samajhte hain
umr biit jaati hai dil ko dil banaane men
faaKhta ki majburi ye bhi kah nahin sakti
kaun saaNp rakhta hai uske aashiyane men
dusari koi laDki zindagi men aayegi
kitni der lagti hai usko bhul jane men
Bashir Badr
aas hogi na aasraa hogaa
aane vaale dino men kyaa hogaa
main tujhe bhool jaauNgaa ek din
waqt sab kuchh badal chukaa hogaa
naam ham ne likhaa thaa aa.Nkho.n me.n
aa.nsuuo.n ne miTaa diyaa hogaa
aasamaN bhar gayaa parindon se
peD koi haraa giraa hogaa
kitnaa dushwaar thaa safar us kaa
wo sar-e-shaam so gayaa hogaa
Bashir Badr
kabhi yuN bhi aa meri aaNkh men ke meri nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat navaaz de magar uske baad sahar na ho
vo baDaa rahim-o-karim hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhulne ki duaa karu.N to duaa me.n meri asar na ho
mere baazuo.n me.n thaki thaki, abhi mahv-e-Khaab hai chaaNdani
na uThe sitaaron ki paalki, abhi aahaTon kaa guzar na ho
ye Gazal ki jaise hiran ki aaNkhon me.n pichhli raat ki chaa.Ndani
na bujhe Kharaabe kii roshani, kabhi becharaaG ye ghar na ho
vo firaaq ho yaa visaal ho, teri yaad mahakegi ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa, jo chiraaG ban ke jalaa na ho
kabhi dhoop de, kabhi badaliyaa.N, dil-o-jaa.N se dono.n qubool hain
magar us nagar me.n na qaid kar jahaa.N zindagi ki havaa na ho
kabhi din ki dhoop me.n jhuum ke kabhi shab ke phool ko choom ke
yuN hi saath saath chale.n sadaa kabhi Khatm apnaa safar na ho
mere paas mere habib aa zaraa aur dil ke qariib aa
tujhe dhaDkano me.n basaa lu.N mai.n ke bichhaDne kaa kabhi Dar na ho
Bashir Badr
Listen this Ghazal Online
Kabhi yun bhi aa meri ankh me ke menri nazar ko khabar na ho
Younhi besabab na phera karo,koi sham ghar bhi raha karo,
Woh ghazal ki sachi kitaab hai,usay chup k chup k parha karo,
Koi haath bhi na milayeyga,jo galay milo gay tapak say,
Yeh naye mizaj ka shahar hai,yahan faslay say mila karo,
Abhi rah main kaye mor hain,koi aye ga koi jaye ga,
Tumhay jis nay dil say bhula diay,usay bholnay ki dua karo,
Mujay ishtihaar c lagti hain,yeh muhabbatooon ki khanaiyan,
Jo kaha nahi woh suna karo,jo suna nahin woh kaha karo,
YEh khizaan ki zard c shaal main,jo udass ped k pass hai,
Yeh tumharay ghar ki bahar hai,isay anso'on say hara karo.