tum itnaa jo muskuraa rahe ho
kya Gham hai jis ko chhupaha rahe ho
aaNkhon men nami haNsi labon par
kya haal hai kya dikhaa rahe ho
ban jaayenge zahar pite pite
ye ashk jo pite jaa rahe ho
jin zaKhmon ko waqt bhar chalaa hai
tum kyon unhen chheDe jaa rahe ho
rekhaaon kaa khel hai muqaddar
rekhaaon se maat khaa rahe ho

jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin
daba daba sa sahi dil men pyar hai ki nahin
tu apne dil ki jawan dhaDkanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil be-qarar hai ki nahin
wo pal ki jis men mohabbat jawan hoti hai
us ek pal ka tujhe intizar hai ki nahin
tujhe bhi apne pe ye etibar hai ki nahin
teri umid pe Thukra raha hun duniya ko

Deewanawar chand se agey nikal gaye
Thahra na Dil kahin bhi teri anjuman ke bad
Hoton ko see ke dekhye pachtayega aap
Hangame jaag uthte hain aksar ghutan ke bad
Ghurbat ki thandi chaaon me yad ayee hai uski dhoop
Qadr-e-watan hui hamein tark-e-watan ke bad
Insaan ke khaahishoon ki koi inteha nahi
Do gaz zamin chahye do gaz kafan ke bad
Kaifi Azmi