Kamar bandhe huye chalne ko ya sab yar baithe haiN
bahut age gaye, baqi jo hain tayar baithe haiN
na cher aey nikahat bad-e-bahari rah lag apni
tujhe at-hkheliya soojhi hain hum bezar baithe haiN
Khayal un ka pare hai arsh-e-azam se kahiN saqi
garaz kuch aur dhun maiN is ghari maikhwar baithe haiN
basane naqsh-e-pa-e-raharavan koo-e-tamana maiN
nahi uthne ki taqat kya karaiN lachar baithe haiN
kahaiN hain sabr kis ko aah nang-o-nam hai kya shai
garaz ro peet kar in sab ko hum yakbar baithe haiN