Chin-O-arab hamara hindustaN hamara
Muslim haiN hum watan sara jahaN hamara
Tauheed ki amanat sino main hai hamare
AasaN nahi mitana nam-O-nishaN hamara
DuniyaN k but kadoN mai phahla wo ghar khuda ka
Hum is k pasbaN haiN wo pasbaN hamara
TeghoN k saaye main hum pal kar jawaN huye haiN
Khanjer helal ka hai Qoumi nishaN hamara
Maghrib Ki Wadiyon Main Goonji Azan Hamari
Thamta Na Tha Kisi Se Sail-e-Rawan Hamara
Batil se dabne wale ai aasmaN nahiN hum
Sau bar kar chuka hai tu imtehaN hamara
Ai gulistan-E-undulus woh din hai yad tujh ko
Tha teri daliyoN main jab aashyaN hamara
Ai mauj-E-dajla tu bhi pahchanti hai hum ko
Ab tak tera darya afsaNa khwan hamara
Ai arz-E-pak teri hurmat pe kat mareN hum
Hai khooN teri ragoN main ab tak rawaN hamara
Salar-E-karwaN hai MIR-E-HEJAZ apna
Islam se hai baaqi aaram-E-jaN hamara
Iqbal ka tarana Baang-E-Dara hai goya
Hota hai zada paimaN phir karwaN hamara
Allama Iqbal

Chaandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Aek tu hi dhanvaan hai gori, baqi sab kangaal
Har aaNgan mein saje na tere ujle roop ki dhoop
Chhail-chhabeeli raani thoRa ghuNghat aur nikaal
Bhar bhar nazreiN dekheiN tujh ko aate jaate log
Dekh tujhe badnaam na karde harni jaisi chaal
Beech mein rang-mahal hai tera khayi charoN or
Hum se milne ki ab gori tu hi raah nikaal
Yeh duniya hai khud gharzoN ki lekin yaar ‘Qateel’
Tu ne hamaara saath diya tu jiye hazaaroN saal

Benaam Sa Ye Dard Theher Kyon Nahi Jaata!
Jo Beet Gaya Hai Wo Guzar Kyon Nahi Jaata!
Sab Kuch To Hai Kya Dhundti Hai Nigahein,
Kya Baat Hai Suraj Wakt Par Ghar Kyon Nai Jaata!
Wo Ek Hi Chehra To Nahi Saare Jahan Mein,
Jo Door Hai Wo Dil Se Utar Kyon Nahi Jaata!
Main Apni Hi Uljhi Hui Raahon Ka Tamasha,
Jaate Hai Jidhar Sab Man Udhar Kyon Nahi Jaata!
Wo Naam Jo Na Jane Kab Se Na Chehre Na Badan Hai,
Wo Khwab Agar Hai To Bikhar Kyon Nahi Jaata!!!

Aey mere hamnasheen, chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzara nahi
Baat hoti gulon tak to seh lete ham
Ab to kaanto pe bhi haq hamara nahi
Di sada daar par aur kabhi toor par
Kis jagah maine tumko pukara nahi
Thokren yun khilane se kya fayda
Saaf keh do ke milna gawara nahi
Aaj aaye ho tum kal chale jaoge
Ye mohabbat ko apni gawara nahi
Umar bhar ka sahara bano toh bano
Do ghadi ka sahara, sahara nahi
Gulistan ko lahu ki zaroorat padi
Sabse pehle hi gardan hamari kati
Phir bhi kehte hain mujhse ye ehal-e-chaman
Ye chaman hai hamara tumhara nahi
Zaalimo apni qismat par naaza na ho
Duar badlega ye waqt ki baat hai
Vo yakeenan sunega sadayen meri
Kya tumhara khuda hai hamara nahi

Usay Apne Dard Ki Fikr Thi
Jo Mera Waaqif-e-Haal Tha
Woh Jo Us Ki Subh-e-Arooj Thi
Wo Mera Waqt-e-Zawaal Tha
Mera Dard Kaisay Wo Jaanta ?
Meri Baat Kaisay Wo Maanta
Wo To Khud Fanaa Ke Safr Main Tha
Usay Rokna Hi Muhaal Tha
Kahan Jaao Gey Mujhe Chor Kar ?
Main Yeh Pooch Pooch Kar Thak Gaya
Woh Jawab Mujhko Na De Saka
Woh To Khud Sarapaa Sawaal Tha
Wo Mila To Sadiyon Baad Bhi
Mere Lab Par Koi Gilaa Na Tha
Usay Meri Chup Ne Rula Dia
Jisay Guftgoo Main Kamaal Tha !

Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gai Hogi
Janey Kis Kis Ke Ghar Gai Hogi
Dair Tak Woh Khafa Raha Mujh Se
Door Tak Ye Khaber Gai Hogi
Jis Taraf Woh Safer Pe Nikla Tha
Saari Rounaq Udher Hi Gai Hogi
Ye Taalluq Na Nibh Saka Us Se
Ya Tabiyat Hi Bhar Gai Hogi
Teri Pal Bhar Ki Dil-Lagi Mohsin
Us Ko Barbaad Kar Gai Hogi

MANZIL NA DE CHIRAGH NA DE HONSLA TO DE
TINKE KA HI SAHI TO MAGAR AASRA TO DE
MEINE YEH KAB KAHA KE MERE HAQ MEIN HO JAWAB
LEKIN KHAMOSH KIUN HAI TU KOI FAISLA TO DE
BARSON MEIN TERE NAAM PE KHATA RAHA FAREB
MERE KHUDA KAHAN HAI TU APNA PATA TO DE
BESHAK MERE NASEEB PE RAKH APNA EKHTIYAR
LEKIN MERE NASEEB MEIN KYA HAI BATA TO DE
MANZIL NA DE CHIRAGH NA DE HONSLA TO DE
TINKE KA HI SAHI TO MAGAR AASRA TO DE

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon