woh gumaan gumaan sa qayas sa
kabhi door sa kabhi paas sa
kabhi chandni main chupa hua
kabi khushbuoon main basa hua
kabhi sirf us ki shabahatain
kabhi sirf us ki hikayatain
kabhi sirf milnay k silsilay
kabhi sirf us say hi faaslay
kabhi door chalti hawaoon main
kabhi meenh barasti ghataoon main
kabhi bad-gumaan kabhi meherbaan
kabhi dhoop hai kabhi saayebaan
kabhi band dil ki kitaab main
kabhi lab kushaan woh khwab main
kabhi youn k jaisay sawal ho
kabhi youn k jaisay khayal ho
kabhi dekhnay k hain silsilay
kabhi sochnay k hain marhalay
kabhi sirf rang-e-bahar sa
kabhi sirf ik ghubaar sa
kabhi dastaras k qareeb qareeb
kabhi door paas kahin nahi
yeh jo ukhrra ukhrra sa shakhs hai
yeh jo bikhra bikhra sa shakhs hai...

Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see,Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke,Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein, kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin, auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa
Kuch yeh ke muddaton se, Hum bhi nahi thay roey
Kuch zeher mein bujha tha, ahbaab ka dilaasa
Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa
Tewer thay berukhi key, andaaz dosti key
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa

Baat nikle gi to phir door talak jaye gi
log bewaja udasi ka sabab poochen ge
yeh bhi poochen ge ke tum itni pareshaan kyun ho
ungleyaan utthen gi sookhe howe baalon ke taraf
ik nazar jayegi  guzre howe saaloon ke taraf
choreyon pe bhe kayi tanz keye jayeen ge
kaampte hathoon pe bhe fiqrey kase jayen ge
loog zalim hen her baat ka tana den ge
batoon batoon me mera ziker bhe le aayen ge
un ki baton ka zara sa bhi asar mat lena
werna chehre ke taAsur se samjh jayeen ge
chahe kuch bhi ho savalaat na kerna un se
mere baare me koi baat na kerna un se
Kafeel Aazar

Baat Niklegi To Phir Live-Jagjit Singh

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apnaa hai
ke ham ko teraa nahii.n intazaar apnaa hai
mile ko_ii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.n
ke jaise saaraa jahaa.N raaz_daar apanaa hai
vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal
vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai
"Faraz" raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai ...!!

Manzilain bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.
Ek main akeli thi,Kafila bhi uska tha..
---------*-------
Sath Sath chalne ki soch bhi uska thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
--------*--------
Aaj kyun akeli hoon,Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha....?
--------*-------

Kuch na Kahne se bhi Chhin Jata Hai Ijaaz-e-Sukhan
Zulm Sahne se bhi Zaalim ki Madad Hoti Hai...........
------------------
Jinko suraj meri chaukhat se mila tha yaro,,
Ab wo khairat mein dete hain ujaale mujhko.
------------------
Dilon me farq pad jaye to itna yad rakhna tum
Dalilen, minnate aur falsafe bekar jate hain
***********************************
Yeh soch kar ke sayad khirki se jhank le wo...
Gali me kheltey bachche lara diye maine...!!
****************
aql walon ke nasibon me kahan zauq-e-junun
ishq wale hain jo sab kuch luta dete hain
******************
na jane kitne chraghon ko mil gyee shohrat
ek aftab ke be waqt doob jane se
*************
merey lafzon ki pehchan agar wo ker leta
usey mujh se nahi,khud se hi muhabbat ho jati!
*************
Kon Kehta Hy k Nafrato?n Main Dard Hy ?
Kuch Mohabbate?n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !!
************
Bin Maange He Mil Jaati Hain Tabeerain Kisi Ko
Koi Khaali Hath Reh Jaata Hai HAazaroon Duaaon K Baad .
************
Jiska tum puchte ho wo mar gaya ?FARAZ?,
Usko kisi ki yaad ne zinda jala diya???.
****************
Mili saza jo mujhe wo kisi khata pe na thi
Mujh pe jurm jo saabit howa wo wafaa ka tha
**************
Ungliyan aaj bhi is soch me ghum hai
Usnay kaisay naye haath ko thaama hoga
***************
Unglian toot gaen pather tarashte tarashte ?Faraz?!!
Aur jab bani soorat-e-yaar tu kharidar aa gaye..
****************
Ab Nend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le
Wo Dour Chala Gaya Hai Jis K Lie Hum Jaga Karty Thy.
**************
Ab maayos q ho us ki bewafai pe
tm khud hi to kehty thy k wo sab se juda hai
*************
kisi ke aik anso par hazaron dil tarapty hain
kisi ka umer bhar ka roona unhi bekaar jata hai
***************
Rasty ke jis diye ko samajhty thy hum haqeer
wo dia ghar tak pohonchny ka bahana ban gya
************
Ab jis k ji main aye wohi pa le roshni
humne to dil jala?ker sar-e-rah rakh dia
**************
Apni Nakaami ka EK Yeh Bhi Sabab Hai
Cheez Jo Mangte Hain Sb Se Juda Mangte Hain.
************
Dekha mujhe toh tarke taluk ke bawajood .
woh muskura diya yeh hunar bhi usi ka tha.,.
*************
Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi ” FARAZ”
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya .
*************
Na janE KaB Se Ho GayE ItNay ShiDDat PasaNd HaM ? FArAz !
JaB Tak ZakhaM Na KhAyEn tAssalEE nAhi hoTi ?
***************
Nazar bacha ke mere pas se guzarte hain
kise khabar thi k aise bhi fasle honge
**********
kisi se bhi dikhawe ki mohabbat hum nahi karte
hum ahle dil hain juzbon ki tijarat hum nahi karte
*********
Hans ke gham ko seh le gham ko mukaddar na bana,
dil ko to har haal mein dil rehne de, patthar na bana.
-------------------
Woh shaks meri laash pe aaya,na ro saka
usko mere sukoon ka kitna khayal tha
--------------------
Ya khuda log banaye the agar pathar ke
mere ehsaas ko sheesha na banaya hota
---------------------
purane zakhm bhar de mere maula
naye zakhmon ki gunjayesh to nikle
-----------------------  
Gham bayan karne ka koi aur dhang ejaz kar
Teri ankhon ka ye pani to purana ho gya..
Wasim Barelvi
------------------------
Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samjhauta Karoon
Shauk Jeene Ka Hai Mujhko Magar Itna Toh Nahi
Muzaffar Warsi
-------------------
Ishq me ghairat-e-jazbat ne rone na deya
warna keya bat the jis bat ne rone na deya
aap kahte the k rone sey badle ge na naseeb
umar bhar aap ke is bat ne rone na deya
---------------
Na shikayatein na sawal hai, koi asra na malal hai
Teri brukhi bhi kamal thi, mera zabt bhi kamal hai
---------------
Main jhuka nahi, main bika nahi, kahin chup chupa ke khada nahi
jo date hue hain mohaaz par mujhe un safon me talash kar

Mere hii lahuu par guzar auqaat karo ho
Mujh se hii amiiroN ki tarah baat karo ho
Din ek sitam,  ek sitam raat karo ho
Vo dost ho dushman ko biii jo maat karo ho
Ham khaak_nashiN tum suKhan aara ho sar-E-baam
Paas aake milo duur se kyaa baat karo ho
Ham ko jo milaa hai vo tumhiiN se to milaa hai
Ham aur bhulaa deN tumheN kyaa baat karo ho
YuuN to hameN muNh pher ke dekho bhi nahiN ho
Jab vaqt paRe hai to madaaraat karo ho
Daaman pe koii chiiNt na Khanjar pe koi daaGh
Tum qatl karo ho ke karaamaat karo ho
Bakne bhi do “Aajiz” ko jo bole hai bake hai
Diivaanaa hai diivaane se kyaa baat karo ho

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon