“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi

Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki
Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?
Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ?
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki
Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki

Hum tere shahar me aye hain musafir ki tarah...
Ek bar mulaqat ka moqa de de

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon