hui hai shaam to aaNkhon men bas gayaa phir tu
kahaaN gayaa hai mere shahar ke musaafir tu
bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usi ki Khaatir tu
meri misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-sahraa huN
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tu
main jaanta huN ke duniya tujhe badal degi
main maanta huN ke aisaa nahin bazaahir tu
haNsii Khushi se bichhaD jaa agar bichhaDna hai
ye har maqaam pe kyaa sochtaa hai aaKhir tu
'Faraz' tune use mushkilon men Daal diya
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tu

Writer