mohabbat tark ki mai ne garebaaN si liya mai ne
zamaane ab to Khush ho zahar ye bhi pi liya mai ne
abhi zinda huN lekin sochta rahta huN Khalvat men
ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya mai ne
unhe apnaa nahin sakta magar itna bhi kya kam hai
ki kuchh muddat hasin Khaabon mein kho kar ji liyaa mai ne
bas ab to daaman-e-dil chhoD do bekaar ummido
bahut dukh sah liye mai ne bahut din ji liya mai ne
Sahir Ludhyanvi