sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista 
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista 

javan hone lage jab vo to ham se kar liya parda 
haya yak-lakht aa.i aur shabab ahista ahista 

shab-e-furqat ka jaaga huun farishto ab to sone do 
kabhi fursat men kar lena hisab ahista ahista 

saval-e-vasl par un ko adu ka khauf hai itna 
dabe honTon se dete hain javab ahista ahista 

vo bedardi se sar kaTen 'amir' aur main kahun un se 
huzur ahista ahista janab ahista ahista 

Category
Writer