Kamar bandhe huye chalne ko ya sab yar baithe haiN
bahut age gaye, baqi jo hain tayar baithe haiN
na cher aey nikahat bad-e-bahari rah lag apni
tujhe at-hkheliya soojhi hain hum bezar baithe haiN
Khayal un ka pare hai arsh-e-azam se kahiN saqi
garaz kuch aur dhun maiN is ghari maikhwar baithe haiN
basane naqsh-e-pa-e-raharavan koo-e-tamana maiN
nahi uthne ki taqat kya karaiN lachar baithe haiN
kahaiN hain sabr kis ko aah nang-o-nam hai kya shai
garaz ro peet kar in sab ko hum yakbar baithe haiN
Badla na apne aap ko jo the wahi rahe,
Milte rahe sabhi se magar ajnabi rahe.
Duniya na jeet pao to haro na khud ko tum,
Thodi bahot to zehan mein narazgi rahe.
Har waqt har maqam par hansna mahaal hai
Rone ke waaste bhi koi be-kali rahe
Apni tarah sabhi ko bhi kisi ki talash thi,
Hum jiske bhi kareeb rahe dur hi rahe.
Guzro jo bagh se to dua mangte chalo,
Jisme khile hain phool woh dali hari rahe.
Nida Fazli
Dil mein ek Lehar si uthi hai abhi
Koi Taaza hawa chali hai abhi
Shor Barpa hai khana-e-Dil mein
Koi deewar si giri hai abhi
Kuch to nazuk mizaj hain hum bhi
Aur ye chot bhi nayi hai abhi
Bhari dunia mein Ji nahi lagta
Jane kis cheez ki kami hai abhi
Yad ke be nishan jaziron se
Teri awaz aa rahi hai abhi
Shahar ki be chiragh galiyon mein
Zindagi tujh ko dhundti hai abhi
So gye log us haweli ke
Ek khidki magar khuli hai abhi
Waqt accha bhi ayega Nasir
Gham na zindagi padi hai abhi
Nasi Kazmi
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon