Agar khilaaf hain hone do jaan thodi hai,
Ye sab dhuwan hai koi aasman thodi hai,
Lagegi aag to aayenge ghar kayi zaddd mein,
Yaha pe sirf hamara makaan thodi hai,
Main janta hoon ki dushman bhi kam nahi lekin,
Hamaari tarah hatheli pe jaan thodi hai,
Hamaare munh se jo nikle wahi sadaqat hai,
Hamare munh mein tumhaari zubaan thodi hai,
Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti mein,
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai..."
Cheen-o-arab hamara Hindustan hamara
Muslim hain hum watan hai sara jahan hamara
Tauheed ki amanat sino me hai hamare
Asaan nahi mitana nam-o-nishan hamara
Dunia k butkadon me pahla wo ghar khuda ka
Hum uske pasbaan hain wo pasbaan hamara
TeGhon ke saaye me hum palkar jawaan hue hain
Khanjar helal ka hai qaumi nishaan hamara
MaGhrib ki wadiyon me gunji AZAAN hamari
Thamta na kisi se sail-e-rawan hamara
Baatil se dabne wale aiy asmaan nahi hum
Sau bar kar chuka hai tu imtihaan hamara
Aiey gulistaan-e-undlas wo din hai yaad tujhko
Tha teri daaliyon par jab aashiyaan hamara
Aiey mauj-e-dajla tu bhi pahchanti hai humko
Abtak hai tera darya afsaan khaan hamara
Aiey arz-e-pak teri hurmat pe kat mare hum
Hai khun teri ragon me abtak rawaan hamara
Salaar-e-karwaan hai meer-e-hejaaz apna
Is naam se hai baqi aram-e-jaan hamara
Iqbal ka tarana baang-e-dra hai goya
Hota hai jada paimaa phir karwaan hamara
Aaina mujse meri pehli si surat mange
Mere apne meri hone ki nishani mange
Mein bhatakata hi raha dard ke viraane mein
Waqt likhta raha chehre pe har pal ka hishab
Meri shohrat meri diwangi ki nazar hui
Pee gayi mai ki botal mere geeto ki kitaab
Aaj lauta hoon tu hasne ki ada bhool gaya
Yeh shahar bhoola mujhe mein bhi ise bhool gaya
Mera funn phir muje bazaar mein le aaya hai
Yeh wo jagah ke jahan mehr-o-vafaa bikate hain
Baap bikate hain aur lakht-e-jigar bikate hain
Kokh bikti hain, dil bikate hain, sar bikate hain
Is badalti hui duniya ka khuda koi nahin
Saste daamo pe yahan roz khuda bikate hain
Har kharidaar ko bazaar mein bikataa paaya
Hum kya paayenge kisi ne yahaan kya paaya
Mere ehsaas mere phool kahin aur chale
Bol pujaa meri bachi kahin aur chale aur chale
Written By : Suraj Sanim
Singer : Talat Aziz , Jagjit Singh
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon