kal chaudhvin ki raat thi shab bhar rahaa charchaa teraa
kuchh ne kahaa ye chaaNd hai kuchh ne kahaa chehraa teraa
ham bhi vahin maujud the ham se bhi sab puchhaa kiye
ham ha.Ns diye ham chup rahe manzuur thaa pardaa teraa
is shahar men kis se milen ham se to chhuti mahfilen
har shaKhs teraa naam le har shaKhs divaanaa teraa
kuche ko tere chhoD kar jogi hi ban jaayen magar
jangal tere parbat tere basti teri sahraa teraa
ham aur rasm-e-bandagi aashuftagi uftaadgi
ehsaan hai kya kya teraa ai husn-e-beparva teraa
do ashk jaane kis liye palkon pe aa kar Tik gaye
altaaf ki baarish terii ikraam kaa dariyaa teraa
ai bedaareG-o-be_amaa.N ham ne kabhi ki hai fuGaaN
ham ko teri vahshat sahi ham ko sahi saudaa teraa
tu bevafaa tuu maharabaaN ham aur tujh se bad-gumaaN
ham ne to puchhaa thaa zaraa ye vaqt kyuu.N Thahraa teraa
ham par ye saKhti ki nazar ham hain faqir-e-rah_guzar
rastaa kabhi rokaa teraa daaman kabhii thaamaa teraa
haaN haaN teri surat hasi.n lekin tu aisa bhi nahi.n
is shaKhs ke ashaar se shoharaa huaa kyaa kyaa teraa
beshak usi kaa dosh hai kahataa nahin Khaamosh hai
tu aap kar aisi davaa bimaar ho achchhaa teraa
bedard sunani ho to chal kahtaa hai kyaa achchhi Gazal
aashiq teraa rusavaa teraa shaayar teraa "Inshaa" teraa
Ibne Insha

ai mohabbat tere anjaam pe rona aya
jane kyon aaj tere naam pe ronaa aya
yuN to har shaam ummidon men guzar jati thi
aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aya
kabhi taqdir ka maatam kabhii duniya ka gila
manzil-e-ishq men har gaam pe rona aya
jab hua zikr zamaane men mohabbat ka 'Shakeel'
mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aya
Shakeel Badayuni

Nasim e subh o gulashan men gulon se khelti ho gi
kisi ki akhiri hichaki kisi ki dillagi ho gi
Tumhen danista mahafil may jo dekha ho to mujarim hun
nazar akhir nazar hai be irada uth gai ho gi
Maza a jayega mahashar may kuch sunne sunane ka
zuban hogi hamari aur kahani ap ki ho gi
Sar e mahafil bata dunga sar e mahashar dikha dunga
hamare sath tum hoge ye duniya dekhati ho gi
Yahi alam raha pardanashinon ka to zahir hai
Khudai ap se hogi na ham se bandagi ho gi
Ta'ajjub kya lagi jo ag aye `Seemab` seene main
hazaron dil me. Angare bhare the lag gai ho gi

Seemab Akbarabadi

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon