Pareshan rat sari hai sitaro tum to so jao
Sukut-e-marg tari hai sitaro tum to so jao
Hanson aur hanste-hanste dubte jao khalaon mein
Hamein ye rat bhari hai sitaro tum to so jao
Tumhen kya aj bhi koi agar milne nahin aya
Ye bazi ham ne hari hai sitaro tum to so jao
Kahe jate ho ro-ro k hamara hal duniya se
Ye kaisi razdari hai sitaro tum to so ja
Hamein to aj ki shab pau phate tak jagna hoga
Yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jao
Hamein bhi nind a jayegi ham bhi so hi jayenge
Abhi kuch beqarari hai sitaro tum to so jao
Qateel Shifai

Apna Gham leke kahi.n aur na jaayaa jaaye
Ghar me.n bikhri hui chizo.n ko sajaya jaaye
Jin chiraGo.n ko havaao.n kaa koi Khauf nahi.n
Un chiraGo.n ko havaao.n se bachaya jaaye
Baag me.n jane ke aadaab huaa karte hai.n
Kisi titali ko na phoolo.n se uDaya jaaye
Khudkushi karne ki himmat nahi.n hoti sab me.n
Aur kuchh din yuu.N hi auro.n ko sataya jaaye
Ghar se masjid hai bahut door chalo yuu.N kar le.n
Kisi rote hue bachche ko ha.Nsaya jaaye
Nida Fazli

Duniya jise kehte hain jadu ka khilona hain
Mil jaaye to mitti hain kho jaaye to sona hain
Achha sa koi mausam tanha sa koi aalam
Har waqt ka rona to Bekar ka rona hain
Barsaat ka baadal deewana hain kya jaane
Kis raah se bachna hain Kis chhat ko bhigona hain
Gam ho ki khushi dono kuchh der ke saathi hain
Phir rasta hi rasta hain hasna hain na rona hain
Nida Fazli

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah