ab ke ham bichhDe to shaayad kabhi Khaabon men milen
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon men milen
DhuuNDh ujaDe hue logon men vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon men milen
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaaN hain to kyon itane hijaabon men milen
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar men shaamil kar lo
nashaa baDataa hai sharaben jo sharaabon men milen
aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen
ab na vo main huuN na tu hai na vo maazii hai Faraaz
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mem milen
Usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam per maah-e-tamaam rakh diya
Aamad-e-dost ki naveed koo-e-wafa mein garm thi
Meine bhi ik charagh sa dil sar-e-shaam rakh diya
Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Usne jo phair li nazar meine bhi jaam rakh di
Usne nazar nazar mein he aisay bhalay sukhan kahey
Meine to uske paaon mein saara kalaam rakh diya
Dekho woh merey khwaab thay dekho yeh mere zakhm hain
Meine to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya
Ake bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bus
Kubk-e-Dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya
Jo bhi mila usi ka dil halqa baghosh-e-yaar tha
Usne to saaray shehr ko karke ghulaam rakh diya
Aur faraz chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maaon ne tere naam pe bachon ka naam rakh diya
By : - Ahmad Faraz
sabz maddham roshani men surKh aaNchal ki dhanak
sard kamare men machalatii garm saaNson kii mahak
baazuuon ke sakht halqe men ko_i naazuk badan
silvaTen malabuus par aaNchal bhii kuchh Dhalakaa huaa
garmii-e-ruKhsaar se dahaki hu_i ThaanDii havaa
narm zulfon se mulaayam uNgaliyon kii chheD chhaaD
surKh honThon par sharaarat ke kisi lamhen kaa aks
reshami baahon men chuuDi ki kabhi maddham dhanak
sharmagin lahajon men dhire se kabhi chaahat ki baat
do dilon ki dhaDakanon men guuNjati thi ek sadaa
kaaNpate honThon pe thi allaah se sirf ek duaa
kaash ye lamhe Thahar jaayen Thahar jaayen zaraa
Parveen Shakir
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah