kuchh to havaa bhi sard thi kuchh thaa teraa Khayaal bhi
dil ko Khushi ke saath saath hotaa rahaa malaal bhi
baat vo aadhi raat ki raat vo poore chaaNd ki
chaaNd bhi ain chet kaa us pe teraa jamaal bhi
sab se nazar bachaa ke vo mujh ko aise dekhate
ek dafaa to ruk gai gardish-e-maah-o-saal bhi
dil to chamak sakegaa kyaa phir bhi taraash ke dekh lo
shishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhi
us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa
ab jo palaT ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhi
meri talab thaa ek shaKhs vo jo nahin milaa to phir
haath duaa se yuuN giraa bhool gayaa savaal bhi
shaam ki naasamajh havaa poochh rahi hai ik pataa
mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhi
us ke hi baazuuon men aur us ko hi sochate rahe
jism ki Khvaahishon pe the rooh ke aur jaal bhi
Parveen Shakir
sundar komal sapanon kii baaraat guzar ga_ii jaanaaN
dhuup aaNkhon tak aa pahuNchii hai raat guzar ga_ii jaanaaN
bhor samay tak jis ne hamen baaham ulajhaaye rakhaa
vo albelii resham jaisii baat guzar ga_ii jaanaaN
sadaa kii dekhii raat hamen is baar milii to chup ke se
Khaalii haath pe rakh ke kyaa sauGaat guzar ga_ii jaanaaN
kis konpal kii aas men ab tak vaise hii sar-sabz ho tum
ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar ga_ii jaanaaN
log na jaane kin raaton kii muuraaden maaNgaa karate hain
apanii raat to vo jo tere saath guzar ga_ii jaanaaN
Perveen Shakir
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila
Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila
Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila
Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah