apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuuN
ek zaraa sher kahuuN aur main kyaa kyaa dekhuuN
niind aa jaaye to kyaa mahafilen barpaa dekhuuN
aaNkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuuN
shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aaNkhen bhii merii
bhuulanevaale main kab tak teraa rastaa dekhuuN
sab ziden us kii main puurii karuuN har baat sunuuN
ek bachche kii tarah se use haNstaa dekhuuN
mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut men mahakataa dekhuuN
tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii men aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuuN
main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aaNkhon men utarataa dekhuuN
tuu meraa kuchh nahiin lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyon tere liye dil ko dhaDakataa dekhuuN
Perveen Shakir

us ne sukut-e-shab men bhi apna payaam rakh diya
hijr ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa
aamad-e-dost kii navid ku-e-vafaa men aam thi
main ne bhi ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa
dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain
main ne to sab hisaab-e-jaaN bar_sar-e-aam rakh diyaa
us ne nazar nazar men hi aise bhale suKhan kahe
main ne to us ke paaNon men saaraa kalaam rakh diyaa
shiddat-e-tishnagi men bhi Gairat-e-maikashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya
aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbaten tujhe
ke maaoN ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa
Ahmad Faraz

aata hay yaad mujhko guzra hua zamana
woh baagh ki baharein woh sabka chehchahana

aazadiyan kahan woh apnay ghoslay ki
apni khushi se aana apni khushi se jaana

lagti hay chot dil par aata hay yaad jis dam
shabnam kay aansuon par kaliyon ka muskurana

woh pyaari pyaari soorat woh kaamni si moorat
abaad jiskay dum say tha mera aashiyana

aati nahi sadaein uski mayray qafas mein
hoti mayri rihaai ay kaash mayray bus mein

kya badnaseeb hoon mayn ghar ko taras raha hoon
saathi to hain watan me mayn qaid mein parda hoon

aayi bahaar kaliyan phoolon kee hans rahi hain
mayn is andhayray ghar may qismat ko ro raha hoon

is qaid ka ilaahi dukhrda kisay sunao
dar hay yaheen qafas mein mayn gham say mar na jaon

jabse chaman chuta hay ye haal ho gaya hay
dil gham ko kha raha hay, gham dil ko kha raha hay

gaana isey samajh kar khush ho na sunne wale
dukhey hue dilon ki faryaad ye sada hay

azaad mujhko karday O qaid karnay walay
main bay-zabaan hoon qaidi tu chord kar dua lay

Allama Iqbal

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah