Hosh waalo.n ko Khabar kyaa beKhudi kyaa chiz hai
Ishq kije phir samajhiye zindagi kyaa chiz hai
 
Un se nazare.n kyaa mili raushan fizaaye.n ho gai.n
Aaj jaanaa pyaar ki jaaduugari kyaa chiz hai
 
Khulti zulfo.n ne sikhaai mausamo.n ko shaayari
Jhukti aa.Nkho.n ne bataaya maikashi kyaa chiz hai
 
Ham labo.n se kah na paaye un se haal-e-dil kabhi
Aur vo samajhe nahi.n ye Khaamoshi kyaa chiz hai
Nida Fazli

mohabbat na samajh hoti hai, samjhana zaroori hai
jo dil mein hai use aankhon se kehalwana zaroori hai
usoolon par jo aanch aaye to takrana zaroori hai
jo zinda hai to fir zinda nazar aana bhi zaroori hai
bohot bebaak aankhon mein talluq tik nahin sakta
mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaroori hai
saleeqa hi nahi shayad use mehsoos karne ka
jo kehte hai gar khuda hai to nazar aana bhi zaroori hai
Majid Deobandi

Saare Jaahaan Se Achchha Hindustan Hamaara
Hum Bulbulein Hain Isski Ye Gulistan Hamaara
Ghurbat Mein Ho Agar Hum Rehta Hai Dil Watan Mein
Samjhon Wahiin Hamein Bhi Dil Ho Jahaa Hamaara
Parbat Woh Sab Se Uncha Hamsaaya Aasmaan Ka
Woh Santary Hamaara_Woh Paasbaan Hamaara
Godi Mein Khilti Hain Isski Hazaaron Naddian
Gulshan Hai Jinke Dam Se Rashk-e-Jinaa Hamaara
Aye Aab-e-Rod-e-Ganga Woh Din Hain Yaad Tujhko
Utra Tere Kinaare Jab Caarvan Hamaara
Mazhab Nahin Sikhaata Aapas Mein Beir Rakhna
Hindi Hain Hum_Watan Hai Hindustan Hamaara
Unaan-o-Misr-o-Roma Sab Mit Gaye Jahaan Se
Ab Tak Magar Hai Baaqi Naam-o-Nishaan Hamaara
Kuchh Baat Hai Ke Hasti Mit-ti Nahin Hamaari
Sadion Raha Hai Dushman Daur-e-Zamaan Hamaara
“Iqbal”, Koi Mahram Aapna Nahin Jahaan Mein
Maalum Kya Kisi Ko Dard-e-Nihaan Hamaara**
ALLAMA IQBAL

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah