Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA
shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista
UnhiN Ko Raah E Talab Khaar Daar Di Gayi Hai
Woh jin ko mamlekat e aetebaar di gayi hai
Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye
Udaas rut mein basad ehtemaam aagaye hain
In aaNsuoN ko saleeqay tamaam aagaye hain
Bahte daryaa meN utar jana tha
Khaak the aur bikhar jana tha
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Recent Update
Main Logo?n Se Mulaqato?n K Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Main Baatai?n Bhuul Bhi jao?n Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon
Sar-e-Mehfil Nigahai?n Mujh Pe Jin Logo?n Ki Parti Hyn
Nigaho?n k Hawaly Se Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon
Zara Sa Hut k Chalta Hoon Zamany Ki Riwa?yat Se
K Jin Pe Bojh Main Daalo?n Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon
Kaat Kar Zuban Meri Keh Raha Tha Wo FARAZ, Ab Tumhe Ejazat hai Hal-e-Dil Sunane Ki.
Ab aur kya kisi se maraasim barrhayein hum, Yeh bhi bohut hai, tujhe bhool jayen hum,
Sehra-e-zindagi mein koyi dusra na tha, Sunte rahe hein aap hi apni sadaayn hum,
Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb, Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum,
Tu itni dil zada tau na thi ay shab-e-firaq, Aa tere raaste mein sitaare luttayen hum,
Woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz, Haye haye khuda-na-karda tujhe bhi rulayen hum..