Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai,
Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai,
Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai,
Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai,
Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai,
Itni Bhi “Faraz” Bad Dili Kiya ? Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai
Raatain Hain Udaas, Din Karry hain Ay Dil Tere Honslay Baray Hain
Ay Yaad-e-Habib Sath Daina Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain
Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain
Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain
Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain
Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah
Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah
Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah
Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah
Hum Hee “Faraz” Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ? Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah
Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh dekha tu ne, Kiss qadar hauslaa haarey huye insaan mein hai..
Shab-e-Firaaq Tou Kat’ti Nazar Nahi Aati, Khayaal-e-Yaar Mein Aao Faraz So Jayein…!
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)
Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu, kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se, Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon