Hum Zamanay Mein Yunhi Bewafa Mashoor Ho Gaye Faraz, Hazaroon Chahnay Waly Thay Kis Kis Say Wafa Kartay !!!!
Bas Yehi Soch Ker Tujhse Mohabbat Kerta Hoon Mein Faraz, Mera To Koi Nahi Hai Magr Tera TU Koi Ho!!
Usey Taraash K Heera Bana Diya Hum Ne Faraz, Magar Ab Ye Sochte Hain USey KHaridain Kaise ..>!!
Ansoo Hansi Hansi Mein Nikal Aaye Q Faraz?? Bethe Bethe Ye Kaunse Ghum Yaad Agaye?
aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa ?Faraz? zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha, Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha,
Utra hai rag-o-pey main to dil katt sa geya hai, Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha,
Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai, Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha,
Titlii ke taaqub mein koi phool sa bacha, Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha,
Ab agley zamaney ke milain log to poochain, Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha,
Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha, Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa bhi kabhi tha..
Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe
Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe
Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe
Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe
Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe
Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer “Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon