Aur faraz chahiyen kitni mohabbten tujh ko, Maaon ne tere naam pr bachon ka naam rakh diya..
Yeh kya ke sab se beyaan dil ki haalaten karni, Faraz tujh ko na aayin muhabbaten karni,
Yeh qurb kya hai ke tu saamne hai aur humen, Shumaar abhi se judaayi ki saaaten karni,
Koi khudaa ho ke pathar jise bhi hum chahen, Tamaam umr ussi ki ibaadaten karni,
Sab apne apne qareene se muntazir us ke, Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karni,
Hum apne dil se hi majboor aur logon ko, Zara si baat pe barpaa qayamaten karni,
Milen jab un se to mubham si guftaguu karna, Phir apne aap se sau sau vazaahten karni,
Yeh log kaise magar dushmani nibhaate hain, Humen to raas na aayin mohabbaten karni,
Kabhi ‘faraz’ naye mausmon me ro dena, Kabhi talaash puraani rafaaqten karni..
Chalo ke kuucha-e-dildaar chal ke dekhte hain, Kise kise hai yeh aazaar chal ke dekhte hain,
Suna hai aesa maseeha kahin se aaya hai, Ke us ko sheher ke bemaar chal ke dekhte hain,
Hum apne but ko, zulekha liye hai yusuf ko, Hai kon ronak-e-bazar chal ke dekhte hain,
Uss aik shakss ko dekho to aankh bharti nahin, Uss aik shakss ko har baar chal ke dekhte hain,
Woh mere ghar ka kare qassd jab to saaye se, Kayi qadam dar-o-deewaar chal ke dekhte hain,
Faraz aseer hai us ka ke woh faraz ka hai, Hai kon kis ka giraftaar chal ke dekhte hain..
Watch this Video Poetry »
Us ko juda huye bhi zamana bohat hua, Ab kya kahen yeh qissa purana bohat hua,
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq, Ae marg e na-gahaan tera aana bohat hua,
Hum khuld se nikal to gaye hain pr ae khuda, Itne se waaqiye ka fasaana bohat hua,
Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani, Iss aashiqi main jaan se jana bohat hua,
Ab tak to dil se dil ka taaruf na ho saka, Maana ke us se milna milaana bohat hua,
Kya kya na hum kharab huye hain magar yeh dil, Ae yaad-e-yaar tera thikaana bohat hhua,
Kehta tha naasehon se mere muu na aayio, Phir kya tha ek huu ka bahana bohat hua,
Lo phir tere labon pe ussi bewafa ka naam, Ahmed Faraz tujhe kaha naa bohat hua..
Watch this Video Poetry »
Aese chup hain ke yeh manzil bhi karri ho jese, Tera milna bhi judaayi ki gharri ho jese,
Apne hi saaye se har gaam larazz jaata hoon, Raaste main koi deewaar kharri ho jese,
Kitne nadaan hain tere bhoolne wale ke tujhe, Yaad karne ke liye umr parri ho jese,
Tere maathe ki shikkan pehle bhi dekhi thi magar, Yeh giraah ab ke mere dil main parri ho jese,
Manzilen door bhi hain manzilen nazdeek bhi hain, Apne hi paaon main zanjeer parri ho jese,
Aaj dil khol ke roye hain to yuun khush hain Faraz, Chand lamhon ki yeh raahat bhi barri ho jese..
Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran yeh zehr piya hai, Ham ne us ke sheher ko choda aur ankhon ko moond liya hai,
Apna yeh sheva to nahin tha apne gham auron ko saumpein, Khud to jaagte ya sote hain us ko kyun be-khawb kiya hai,
Khilqat ki awaazain bhi thi band us ke darvaaze bhi they, Taaza rifaaqat ke mausam tak main bhi jiya hoon woh bhi jiya hai,
Ek Faraz tumhin tanhaa ho jab tak dukh ke rasiyaa ho, Warna aksar dil walon ne dard ka raasta chorr diya hai..
Aasshiqi me mir jaise khawb mat dekha karo, Baavle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo,
Jasta jasta parh liya karna mazaamin-e-vafaa, Par kitaab-e-ishq kaa har baab mat dekha karo,
Is tamaashe me ulat jaati hain aksar kashtiyan, Doobne waalon ko zair-e-aab mat dekha karo,
Mai-kade me kya takaluf mai-kashii me kya hijaab, Bazm-e-saaqi me adab adaab mat dekha karo,
Maange maange ki qabaayen dair tak rehti nahin, Yaar logon ke laqab laqaab mat dekha karo,
Tishnagi me lab bhigo lena bhi kaafi hai Faraz, Jaam me sahbaa hai ya zahraab mat dekha karo..
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon