saare jahaa.N se achhaa hindustaan hamaaraa
ham bulbule.n hai.n is ki ye gulistaa.N hamaaraa
Ghurbat me.n ho.n agar ham rahtaa hai dil vatan me.n
samajho vahi.n hamein bhi dil ho jahaa.N hamaaraa
parvat wo sab se uuNchaa ham_saayaa aasmaa.N kaa
wo santari hamaaraa wo paasabaa.N hamaaraa
godi me.n khelti hai.n is ki hazaaro.n nadiyaa.N
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-janaa.N hamaaraa
ai aab-e-ruud-e-gangaa wo din hai yaad tujh ko
utraa tere kinaare jab kaarawaa.N hamaaraa
mazhab nahi.n sikhaataa aapas me.n bair rakhnaa
hindi hai.n ham watan hai hindustaa.N hamaaraa
yunaan-o-mishr-o-romaa sab miT gaye jahaa.N se
ab tak magar hai baaqi naam-o-nishaa.N hamaaraa
kuchh baat hai ki hasti miTti nahi.n hamaari
sadiyo rahaa hai dushman daur-e-zamaa.N hamaaraa
'Iqbal' ko_i maharam apnaa nahi.n jahaa.N me.n
maalum kyaa kisi ko dard-e-nihaa.N hamaaraa
phir mujhe didaa-e-tar yaad aya
dil jigar tashnaa-e-fariyaad aya
dam liyaa tha na qayaamat ne hanoz
phir teraa vaqt-e-safar yaad aya
saadgi haaye tamanna yaani
phir wo nai_rang-e-nazar yaad aya
uzr-e-vaamaa.Ndagii ae hasrat-e-dil
nala kartaa tha jigar yaad aya
zindagi yuN bhi guzar hi jaati
kyo.n teraa raah_guzar yaad aya
kyaa hi rizavaan se laDai hogi
ghar teraa Khuld me.n gar yaad aya
aah wo jurrat-e-fariyaad kahaaN
dil se tang aake jigar yaad aya
phir tere kuche ko jaata hai Khayaal
dil-e-Gum_gashtaa magar yaad aya
koi viraani-si-viraa.Ni hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aya
main ne majnuN pe laDakpan men 'Asad'
sang uThaya tha ke sar yaad aya
Yun phir raha hai kaanch ka peiker liye howey Ghafil ko yeh gumaan hai ke pathar na aye ga
Us ki aankhon ko kabhi ghaur se dekha hai Faraz, Roney walon ki taraaah jaagney waalon jesi..
Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ” Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.
Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain, Kitni raghbat* thi tere naam se pehle pehle..
(raghbat;attraction)
Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa “faraz” Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna….
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon