Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-naaz us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e-falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulain us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma-farosh aaahhh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jharte hain
So ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o- gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke taraash aisi hai
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar be-gul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rah-ravaan-e-tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai bahisht
Makeen udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be-pairahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar
jayan Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain..
qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao qazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao
thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao
nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao
abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao
Chandni Raat Ko Saher Kehna Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna Haal Apna Nagar Nagar kehna,
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz” Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.
Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein ?
TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein
Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein
Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein
Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai “Faraz” Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein
Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge Loog Aaraam Se Soye Honge
Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge
Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia Phool Kaanton Mein Piroye Honge
Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay Na-Khudaon Ne Duboyein Honge
Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz” Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ? Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun, Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon