Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay, Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay,
Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind, Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay,
Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k, Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay,
Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay, K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay,
Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz, Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!

Dukh fasana nahi k tujh se kahain Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,
Ek tu harf aashna tha magar Ab zamana nahi k tujh se kahain,
Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost Aab o daanaa nahi k tujh se kahain
Be tarah haal e dil hai aur tujh se Dostana nahi k tujh se kahain
Qasidaa hum faqeer logon ka Ek thikana nahi k tujh se kahain
Ab to barson se us gali men FaRAZ Aana jaana nahi k tujh se kahain

Phool Shaak Se Bichre To Kaheen Ka Nahi Rehta “Faraz” Tum Khud Ko Juda Meri Zaat Se Soch K Karna………

zindagi jab bhi teri bazm mein, laati hai hamen
yeh zameen chaand se behtar, nazar aati hai hamen
surkh phoolon se mehek uthati hain dil ki rahen
din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamen
yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshii se
raat ke pichhale prahar roz jagaati hai hamen
har mulaqaat ka anjaam judai kyun hai
ab toh har waqt yeh hi baat sataati hai hamen
Shahryar

Apni aawaaz ki larzish pe to qaaboo paalo
Pyaar ke bol to honton se nikal jate hain
apne tewar to sambhaalo ke koi ye na kahein
dil badalte hain to chehere bhi badal jate hain”
main nazar se pii rahaa huuN ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahe.n kahiin raat dhal na jaaye
mere ashk bhii hain is mein ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye
merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane kii khushii mein meraa dam nikal na jaaye
abhii raat kuchh hai baaqii na uthaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahiin phir sambhal na jaaye
mujhe phuuNkane se pahale meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat kahiin saath jal na jaaye
main banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe
kahiin saath aashiyaan ke ye chaman bhii jal na jaaye
isi khauf se nasheman na bana saka main ‘Anwar’
ke nighaah-e-ahl-e-gulshan kahin phir badal na jaaye
Anwar Mirzapuri

ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
bhale chhin lo mujhase meri javaani
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
wo kaagaz ki kashti, wo baarish kaa paani
muhalle ki sabase nishaani puraani
wo budhiyaa jise bachche kahate the naani
wo naani ki baaton mein pariyon kaa deraa
wo chahare ki jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahin bhuul sakataa hai koi
wo chhoti si raaten wo lambi kahaani
kadi dhuup mein apane ghar se nikalanaa
wo chidiyaa wo bulabul wo titali pakadanaa
wo gudiyaa ki shaadi mein ladanaa jhagadanaa
wo jhuulon se giranaa wo gir ke sambhalanaa
wo pital ke chhallon ke pyaare se tohafe
wo tuuti hui chuudiyon ki nishaani
kabhi ret ke unche tilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
wo maasuum chahat ki tasvir apani
wo kvaabon khilaunon ki jaagir apani
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badi khuubasuurat thi wo zindagaani

Aaina mujse meri pehli si surat mange
Mere apne meri hone ki nishani mange
Mein bhatakata hi raha dard ke viraane mein
Waqt likhta raha chehre pe har pal ka hishab
Meri shohrat meri diwangi ki nazar hui
Pee gayi mai ki botal mere geeto ki kitaab
Aaj lauta hoon tu hasne ki ada bhool gaya
Yeh shahar bhoola mujhe mein bhi ise bhool gaya
Mera funn phir muje bazaar mein le aaya hai
Yeh wo jagah ke jahan mehr-o-vafaa bikate hain
Baap bikate hain aur lakht-e-jigar bikate hain
Kokh bikti hain, dil bikate hain, sar bikate hain
Is badalti hui duniya ka khuda koi nahin
Saste daamo pe yahan roz khuda bikate hain
Har kharidaar ko bazaar mein bikataa paaya
Hum kya paayenge kisi ne yahaan kya paaya
Mere ehsaas mere phool kahin aur chale
Bol pujaa meri bachi kahin aur chale aur chale
Written By : Suraj Sanim
Singer : Talat Aziz , Jagjit Singh

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon