Kaha tak jafa husn-waalon ki sahte
Jawaani jo rehti to phir ham na rahte
Zamana Bada shauq se sun raha tha
Ham hi so gaye dastaan kehte kehte
Nasheman na jalta nishaani to rehti
Hamara tha kya theek rahte na rahte
Meri nao is gham ke darya mein ‘Saqib’
Kinaare pe aa hi lagi behte behte
Saqib Lakhnawi
judaai ho ke milan har adaa hamaari hai
tumhaaraa shahar hai lekin fizaa hamaari hai
shikaayateN bhi kareN ham to kis zabaan se kareN
Khudaa banaayaa ham ne ye Khataa hamaari hai
hamaare jism ki uriyaanat pe mat haNsanaa
ke tum jo oRhe huye ho wo ridaa hamaari hai
hamaare saamane zebaa nahiiN Guroor tumheN
jahaaN pe baiThe ho tum wo jagaa hamaari hai
Manzar Bhopali
apni dhun mein rehtaa hun
mein bhi tere jaisaa hun
o pichhli rut ke saathi
ab ke baras main tanhaa hun
teri gali mein saaraa din
dukh ke kankar chunataa hun
mujh se aankh milaaye kaun
main teraa aa_inaa hun
meraa diyaa jalaaye kaun
main teraa Khaali kamraa hun
tu jivan ki bhari gali
main jangal kaa rastaa hun
apni lahar hai apnaa rog
dariyaa hun aur pyaasaa hun
aati rut mujhe royegi
jaati rut kaa jhonkaa hun
tum itnaa jo muskuraa rahe ho
kya Gham hai jis ko chhupaha rahe ho
aaNkhon men nami haNsi labon par
kya haal hai kya dikhaa rahe ho
ban jaayenge zahar pite pite
ye ashk jo pite jaa rahe ho
jin zaKhmon ko waqt bhar chalaa hai
tum kyon unhen chheDe jaa rahe ho
rekhaaon kaa khel hai muqaddar
rekhaaon se maat khaa rahe ho
Aaj ke daur men aiy dost ye manzar kyuN hai
zaKhm har sar pe har ik haath men patthar kyuN hai
jab haqiqat hai ke har zarre men tu rahtaa hai
phir zamin par kahin masjid kahin mandir kyuN hai
apnaa anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apani nazaron men har insaan sikandar kyuN hai
zindagi jine ke qaabil hi nahin ab "Faakir"
varnaa har aaNkh men ashkon kaa samandar kyuN hai
By : Sudarshan Faakir
aflak se aata hai nalon ka jawab aaKHir
karte hain KHitab aaKHir uThte hain hijab aaKHir
ahwal-e-mohabbat men kuchh farq nahin aisa
soz o tab o tab awwal soz o tab o tab aaKHir
main tujhko batata hun taqdir-e-umam kya hai
shamshir o sinan awwal taus o rabab aaKHir
mai-KHana-e-europe ke dastur nirale hain
late hain surur awwal dete hain sharab aaKHir
kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri
ho jate hain sab daftar gharq-e-mai-e-nab aaKHir
KHalwat ki ghaDi guzri jalwat ki ghaDi aai
chhuTne ko hai bijli se aaghosh-e-sahab aaKHir
tha zabt bahut mushkil is sail-e-maani ka
kah Dale qalandar ne asrar-e-kitab aaKHir
kitni pi kaise kaTi raat mujhe hosh nahi
raat ke saath gai baat mujhe hosh nahi
mujh ko ye bhi nahin maaluum ki jaana hai kahaN
thaam le koi meraa haath mujhe hosh nahi
aaNsuon aur sharaabon men guzar hai ab to
main ne kab dekhi thi barasaat mujhe hosh nahi
jaane kyaa TuTaa hai paimaana ki dil hai meraa
bikhare bikhare hain Khayaalaat mujhe hosh nahi
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon