Chandni Raat Ko Saher Kehna Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna Haal Apna Nagar Nagar kehna,
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz” Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.
Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ? Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun, Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain
Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge Loog Aaraam Se Soye Honge
Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge
Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia Phool Kaanton Mein Piroye Honge
Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay Na-Khudaon Ne Duboyein Honge
Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz” Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge
Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay, Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay,
Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind, Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay,
Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k, Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay,
Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay, K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay,
Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz, Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay…!
Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale Ab vahi log hamain abalapa kahte hain
Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain
Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain
Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain
Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’ Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain
Shayari, aawargi, khushbu, wafaa, lazzat, sharaab Mukhtalif shaklon main shehzaade ko aurat chahiye ..!
Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-‘Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon