Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-naaz us ki So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai Sitaray baam-e-falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulain us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai So us ko surma-farosh aaahhh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain So ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina timsaal hai jabeen us ka Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main Mizaj aur hi lal-o- gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main Palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke taraash aisi hai Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar be-gul-e muraad nahin Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka So rah-ravaan-e-tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai bahisht Makeen udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaaf karti hain Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be-pairahan usay dekhay Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahi Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain..
Writer