do jawaN diloN ka gham dooriyaN samajhti haiN
kaun yaad karta hai hichkiyaN samajhti haiN.
tum to khud hi qatil ho tum ye baat kya jano
kyoN hua maiN deewana bediyaN samajhti haiN.
baam se utarti hai jab haseen doshiza
jism ki nazakat ko seediyaN samajhti haiN.
yuN to sair-e-gulshan ko kitne log aate haiN
phool kaun todega daliyaN samajhti haiN.
jisne kar liya dil meiN pehli baar ghar danish
usko meri aaNkhoN ki putliyaN samajhti haiN.

Duniya Ki Mehfilon Se Uktaa Gya Hoon Ya Rabb
Kya Lutf Anjuman Ka, Jab Dil Hi Bujh Gya Ho?
Shorish Say Bhaagta Hoon, Dil Dhoondta Hai Mera
Aisa Sakoot Jis Par Taqdeer Bhi Fidaa Ho
Marta Hoon Khamoshi Par, Yeh Aarzoo Hai Meri
Daaman Mein Koh Ke, Ik Chotaa Saa Jhonpra Ho
Azaad Fikr Se Hoon, Uzlat Mein Din Guzaaroon
Dunya Ke Gham Ka Dil Se Kaanta Nikal Gya Ho
Lazzat Sarod Ki Ho Chiriyon Ke Chehchehon Mein
Chashme Ki Shorish Mein Baaja Saa Baj Raha Ho
Gul Ki Kali Chitak Kar Paighaam Day Kissi Ka
Saaghar Zara Saa Goya, Mujhko Jahaan-Numa Ho
Ho Haath Ka Sarhana, Sabza Ka Ho Bachoona!
Sharmaaye Jis Se Jalwat, Khlawat Mein Woh Ada Ho
Maanoos Is Qadr Ho Soorat Se Meri Bulbul
Nannhay Se Dil Mein Us Kay Khatka Na Kuchh M'ra Ho
Saf Baandhay Donon Jaanib Bootay Haray Haray Hon
Nadi Ka Saaf Paani Tasveer Lay Raha Ho
Ho Dilfareb Aisa Kohisaar Ka Nazaara
Paani Bhi Mawj Ban Kar Uth Uth Kay Dekhta Ho
Aaghosh Mein Zameen Ki Soya Huwa Ho Sabza
Phir Phir Kay Jhariyon Mein Paani Chamak Raha Ho
Paani Ko Choo Rehi Ho Jhuk Jhuk Ke Gul Ki Tehni
Jaisay Haseen Koi Aa'ina Dekhta Ho
Mehndi Lagaaye Sooraj Jab Shaam Ki Dulhan Ko
Surkhi Liye Sunehri Har Phool Ki Qabaa Ho
Raaton Ko Jalne Waalay Reh Jaain Thak Kay Jis Dum
Umeed Unki Mera Toota Huwa Diya Ho
Bijlee Chamak Kay Unko Katiya M'ri Dikhaa De
Jab Aasmaan Pe Har Soo Baadal Ghara Huwa Ho
Pichle Pehr Ki Koy'al, Woh Subah Ki Muazzin
Main Uska Hum-Navaa Hoon, Woh Meri Hum-Nava Ho
Kaanon Pe Ho Na Mere Dair O Haram Ka Ihsaan!
Rozan Hi Jhonpree Ka, Mujhko Sehr-Numa Ho
Phoolon Ko Aaye Jis Dam Shabnam Wuzu Karne
Rona Mera Wuzu Ho, Naala Meri Dua Ho!
Is Kham'shi Mein Jaain Itne Buland Naalay
Taaron Kay Qaafilay Ko Meri Sadaa Dara Ho
Har Dardmand Dil Ko Rona Mera Rulaa Day
Bayhosh Jo Paray Hain Shaayad Inhein Jagaa Day
View More Ghazal of Allama Iqbal

Ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhayenge
Royenge bahut lekin aansu nahin ayenge
Kah dena samandar se ham os key moti hain
Darya ki tarah tujh se milne nahin ayenge
Wo dhoop key chhappar hon ya chhaon ki deewaren
Ab jobhi uthayenge mil jul key uthayenge
Jab saath na de koi aawaz hamein dena
Ham phool sahi lekin patthar bhi uthayenge
Bashir Badr

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon