Lap pe aati hai dua ban ke tamanna meri
Zindgi shamma ki surat ho Khudaya meri
Door duniya ka mere dam se andhera hojaye
Har jagah mere chamakne se ujala hojaye
Ho mere dum se yohe mere watan ki zeenat
Jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat
Zindigi ho meri parwaane ki soorat ya rab
Ilm ki shama se ho mujko mohabbat ya rab
Ho mera kaam ghareebon ki himayat karna
Dardmandon se, Zaeefon se muhabbat karna
Mere Allah! Burayee se bachana mujhko
Naik jo raah ho us rah pe chalana mujhko
More Ghazal by Allam Iqbal
sab log liye sang-e-malamat nikal aaye
kis shahar men ham ahal-e-muhabbat nikal aaye
ab dil ki tamannaa hai to ai kaash yahi ho
aaNsoo ki jagah aaNkh se hasrat nikal aaye
har ghar ka diyaa gul na karo tum ke na jaane
kis baam se Khurashid-e-qayaamat nikal aaye
jo dar_paa-e-pindaar hain un qatl_gahon se
jaaN deke bhi samjho ke salaamat nikal aaye
ai ham_nafason kuchh to kaho ahad-e-sitam ki
ik harf se mumkin hai hikaayat nikal aaye
yaaro mujhe masalub karo tum ke mere baad
shaayad ke tumhaaraa qad-o-qaamat nikal aaye
By : Ahmad Faraz
Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo
Tum Ne Bhi Suni HoGi Badi Aam Kahawat Hay
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo
Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paaye
Sur Hi Na Mile Jis Mai Wo Saaz Badal Dalo
Dushman Ke Iradon Ko Hay Zahir Agar Karna
Tum Khel Wohi Khelo Andaaz Badal Dalo
Aey Dost Karo Himmat Kuch Door Sawera Hay
Agar Chahte Ho Manzil Tu Parwaaz Badal Dalo
View More Ghazal of Allama Iqbal
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon