mohabbat tark ki mai ne garebaaN si liya mai ne
zamaane ab to Khush ho zahar ye bhi pi liya mai ne
abhi zinda huN lekin sochta rahta huN Khalvat men
ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya mai ne
unhe apnaa nahin sakta magar itna bhi kya kam hai
ki kuchh muddat hasin Khaabon mein kho kar ji liyaa mai ne
bas ab to daaman-e-dil chhoD do bekaar ummido
bahut dukh sah liye mai ne bahut din ji liya mai ne
Sahir Ludhyanvi
KaruN na yaad agar kis tarah bhulauN use
Ghazal bahana karuN aur gungunauN use
Wo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab ki maanind
Main zaKhm-zaKhm huN phir bhi gale lagauN use
Ye log tazkare karte hain apne logon se
Main kaise baat karuN aur kahaaN se lauN use
Magar wo zudfaraamosh zud ranj bhi hai
ke rooTh jaaye agar yaad kuchh dilauN use
Wahi jo daulat-e-dil hai wahi jo raahat-e-jaaN
Tumhaari baat pe ai naasiho gaNvauN use
Jo hamsafar sar-e-manzil bichhaD rahaa hai 'Faraz'
Ajab nahin ki agar yaad bhi na aauN use
Zindagi hum ne bata tera bigada kia hai
Har sitam hum pe rawa hai ye tamasha kia hai
Teri khushyon pe mera haq hi nahi jab koi
Phir bhala gham se mere tera bhi rishta kia hai
Bhuk jati hi nahi lakh jatan karta hun
Palne wale mera rizq se jhagda kia hai
Main to lut-ta bhi raha chain se sota bhi raha
Lootne wale bata tune kamaya kia hai
Main tere pyar ke qabil to nahi hun lekin
Soch mujhko bhi nafi karne se bachta kia hai
Log karte hain ebadat bhi tejarat ki tarah
Pahle ye sochte hain badle me milta kia hai
Ghar na masjid na sanam khana chale iske beghair
Shad kahne ko sabhi kahte hain paisa kia hai
Amin Shad
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon