Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ? Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz” Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?
Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey, Halqat*-e-sheher to kehne ko fasaaney mangey..
(halqat;public)
Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz” Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay
Huaa hai tujh se bicharney ke baad ab maloom, Ke tu nahin tha, tere sath aik dunyaa thi..
Humi ne tark-e-taluq main pehel ki ke Faraz, Woh chahtaa tha magar hauslaa na tha us ka..
Chalo ke kuucha-e-dildaar chal ke dekhte hain, Kise kise hai yeh aazaar chal ke dekhte hain,
Suna hai aesa maseeha kahin se aaya hai, Ke us ko sheher ke bemaar chal ke dekhte hain,
Hum apne but ko, zulekha liye hai yusuf ko, Hai kon ronak-e-bazar chal ke dekhte hain,
Uss aik shakss ko dekho to aankh bharti nahin, Uss aik shakss ko har baar chal ke dekhte hain,
Woh mere ghar ka kare qassd jab to saaye se, Kayi qadam dar-o-deewaar chal ke dekhte hain,
Faraz aseer hai us ka ke woh faraz ka hai, Hai kon kis ka giraftaar chal ke dekhte hain..
Watch this Video Poetry »
Us ko juda huye bhi zamana bohat hua, Ab kya kahen yeh qissa purana bohat hua,
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq, Ae marg e na-gahaan tera aana bohat hua,
Hum khuld se nikal to gaye hain pr ae khuda, Itne se waaqiye ka fasaana bohat hua,
Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani, Iss aashiqi main jaan se jana bohat hua,
Ab tak to dil se dil ka taaruf na ho saka, Maana ke us se milna milaana bohat hua,
Kya kya na hum kharab huye hain magar yeh dil, Ae yaad-e-yaar tera thikaana bohat hhua,
Kehta tha naasehon se mere muu na aayio, Phir kya tha ek huu ka bahana bohat hua,
Lo phir tere labon pe ussi bewafa ka naam, Ahmed Faraz tujhe kaha naa bohat hua..
Watch this Video Poetry »
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon