merey lafzon ki pehchan agar wo ker leta faraz usey mujh se nahi,khud se hi muhabbat ho jati!
Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi Dosti Tau Udaas Karti Nahi
Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi
Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi
Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi
Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun Itni Aasanion Se Marti Nahi
Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz Zindagi Iss Tarah Guzarti Nahi
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
Tere sadqe me aaqa sare jahan ko deen mila
Bedeeno ne kalma padha laailaha illallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah
Simt-e-nabi Abu Jehal gaya aaqa se usne ye kaha
Agar ho nabi batlaao zara, meri mutthi me hai kya
Aaqa ka farman hua aur fazl-e-rahmaan hua
Mutthi se patthar bola laailaha illallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah
Wo jo bilal-e-habshi hai, sarwar-e-deen ka pyara hai
Duniya ke har aashiq ki aakhon ka wo tara hai
Zulm hue kitne uspar seene par rakha patthar
Lab par phir bhi jaari tha laailaha illallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah
Apni bahan se bole Umar (ra) ye to bata kya karti thi
Mere aane se pahle kya chupke chupke padhti thi
Bahan ne jab quran padha, sunke kalam-e-paak khuda
Dil ye umar (r.a) ka bol utha laailaha illallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah
Duniya ke insan sabhi shirk-o-bidat karte the
Rab ke the bande phir bhi but ki ibadat karte the
Butkhane hain tharraye mere nabi hain jab aaye
Kahne lagi makhlooq-e-khuda laailaha illallah
Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon