Tum bhi khafa ho, log bhi barham hai dosto
Ab ho chala yaqeen ke, bure hum hai dosto
Kis ko hamaare haal se nisbat hai kya khabar
Aankhen to dushmano ki bhi purnam hai dosto
Apne siwa hamaare na hone ka ghum kise
Apni talash mein to hum hi hum hai dosto
Kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
Kuch shehr ke chiraagh bhi maddham hai dosto
Is shahr-e-aarzoo se bhi bahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqen bhi koi dam hai dosto
Sab kuch sahi "Faraz" par itna zaroor hai
Duniya mein aise log  bahut kam hai dosto
Ahmad Faraz
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz” Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili
Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi, Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….
Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski, K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….
Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha, Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..
Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ” Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…
Tu Meraa Pehla Piyar Sajan Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,
Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,
Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,
Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,
Soorat Teri Bholi Bhaali Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,
Dil Ki Baaten Tum Se Karna Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,
Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,
Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,
Na Tum Se Jis Din Baat Kare Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,
Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,
Tum Bhi Maano Ek Baat Meri Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-naaz us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e-falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulain us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma-farosh aaahhh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jharte hain
So ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o- gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke taraash aisi hai
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar be-gul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rah-ravaan-e-tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai bahisht
Makeen udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be-pairahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar
jayan Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain..
Chandni Raat Ko Saher Kehna Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna Haal Apna Nagar Nagar kehna,
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz” Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon
 
     
 
 
 
 
 
 
 
