Aur faraz chahiyen kitni mohabbten tujh ko, Maaon ne tere naam pr bachon ka naam rakh diya..

Tera qurb hai na baada* hai, kya kiya jaaye, Phir aaj dukh bhi zeyadaa hai, kya kiya jaaye,
Kuch apne dost bhi turkish-badosh phirte hain, Kuch apna dil bhi kushaada hai, kya kiya jaaye,
Na un se tark-e-taluq ki baat kar paayen, Na humdumi ka iraada hai, kya kiya jaaye,
Woh meherbaan hai, magar dil ki hirss* bhi kam to ho, Talab karam se zeyada hai, kya kiya jaaye,
Humain bhi arz-e-tamanna ka dhangg nahin aata, Mizaaj-e-yaar bhi saada hai, kya kiya jaaye,
Salook-e-yaar se dil doobne laga hai Faraz, Magar yeh mehfil-e-aaada hai, kya kiya jaaye..
(baada:libaas, clothes)(hirss:lalach, greed)
Watch this Video Poetry »

Agarche zor hawaaon ne daal rakha hai, Magar charaagh ne lau ko sambhaal rakha hai,
Mohabton main to milna hai ya ujad jaana, Mizaaj-e-ishq main kab etidaal rakha hai,
Bhale dinon ka bharosa hi kya rahen na rahe, So maine rishta-e-gham ko bahaal rakha hai,
Bhari bahaar main ik shaakh pr khilaa hai gulaab, Ke jaise tu ne hatheli pe gaal rakha hai,
Faraz ishq ki duniya to khuubsurat thi, Yeh kis ne fitna e hijr o visaal rakha hai..

Uss ki woh jane usay paas-e-wafa tha ke na tha, Tum faraz apni taraf se to nibhaate jaate..

Yeh mohabbat bhi hai kya rog faraz, Jis ko bhoolen woh sadaa yaad aye..

Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaanan, Yaad kya tujh ko dilaayen tera paimaan jaanan,
Yoon hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai, Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanan,
Zindagi teri ataa thi, so tere naam ki hai, Hum ne jese bhi bassar ki tera ehsaan jaanan,
Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi, Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaanan,
Awal awal ki mohabbat ke nashe yaad to kar, Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanan,
Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahin, Rag-e-beena sulagg uthi hai rag-e-jaan jaanan,
Muddaton se yeh aalam na tawaqoh na umeed, Dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaanan,
Hum bhi kya saada they hum ne bhi samajh rakha tha, Gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaanan jaanan,
Ab tera naam bhi shayed hi ghazal mein aaye, Aur se aur huye dard ke unwaan jaanan,
Hum ke roothi hui rut ko bhi manaa lete they, Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaanan,
Hosh aaya to sabhi khawb they raiza raiza, Jese urrte huye auraaq-e-pareshaan jaanan..

Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee, Sehraa ki tishnagi thi sau daryaa sharaab pee,
Tu sath jo nahin hai to kya gulistan ki sair, Tu hum’saboon nahin hai to phir kya sharab pee,
Kal aik bazurg dost ne yeh mashwraa diya, Tera nahin ilaaj koi ja sharaab pee..

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon