Aesi tareekiyan aankhon mein bassi hain ke Faraz, Raat to raat hai hum din ko jalate hain chiraagh..
Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate, Warna itne to marasim they ke aate jaate,
Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha, Apne hisse ki koi shamma jalaate jaate,
Kitna asaan tha tere hijr main marna jaana, Phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate,
Jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi, Pa-bajolaan hi sahi naachte gaate aate,
Us ki woh jaane usse paas-e-wafa tha ke na tha, Tum Faraz apni tarf se to nibhaate jaate..
Aasshiqi me mir jaise khawb mat dekha karo, Baavle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo,
Jasta jasta parh liya karna mazaamin-e-vafaa, Par kitaab-e-ishq kaa har baab mat dekha karo,
Is tamaashe me ulat jaati hain aksar kashtiyan, Doobne waalon ko zair-e-aab mat dekha karo,
Mai-kade me kya takaluf mai-kashii me kya hijaab, Bazm-e-saaqi me adab adaab mat dekha karo,
Maange maange ki qabaayen dair tak rehti nahin, Yaar logon ke laqab laqaab mat dekha karo,
Tishnagi me lab bhigo lena bhi kaafi hai Faraz, Jaam me sahbaa hai ya zahraab mat dekha karo..
Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee, Sehraa ki tishnagi thi sau daryaa sharaab pee,
Tu sath jo nahin hai to kya gulistan ki sair, Tu hum’saboon nahin hai to phir kya sharab pee,
Kal aik bazurg dost ne yeh mashwraa diya, Tera nahin ilaaj koi ja sharaab pee..
Aese chup hain ke yeh manzil bhi karri ho jese, Tera milna bhi judaayi ki gharri ho jese,
Apne hi saaye se har gaam larazz jaata hoon, Raaste main koi deewaar kharri ho jese,
Kitne nadaan hain tere bhoolne wale ke tujhe, Yaad karne ke liye umr parri ho jese,
Tere maathe ki shikkan pehle bhi dekhi thi magar, Yeh giraah ab ke mere dil main parri ho jese,
Manzilen door bhi hain manzilen nazdeek bhi hain, Apne hi paaon main zanjeer parri ho jese,
Aaj dil khol ke roye hain to yuun khush hain Faraz, Chand lamhon ki yeh raahat bhi barri ho jese..
Us ko juda huye bhi zamana bohat hua, Ab kya kahen yeh qissa purana bohat hua,
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq, Ae marg e na-gahaan tera aana bohat hua,
Hum khuld se nikal to gaye hain pr ae khuda, Itne se waaqiye ka fasaana bohat hua,
Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani, Iss aashiqi main jaan se jana bohat hua,
Ab tak to dil se dil ka taaruf na ho saka, Maana ke us se milna milaana bohat hua,
Kya kya na hum kharab huye hain magar yeh dil, Ae yaad-e-yaar tera thikaana bohat hhua,
Kehta tha naasehon se mere muu na aayio, Phir kya tha ek huu ka bahana bohat hua,
Lo phir tere labon pe ussi bewafa ka naam, Ahmed Faraz tujhe kaha naa bohat hua..
Watch this Video Poetry »
Chalo ke kuucha-e-dildaar chal ke dekhte hain, Kise kise hai yeh aazaar chal ke dekhte hain,
Suna hai aesa maseeha kahin se aaya hai, Ke us ko sheher ke bemaar chal ke dekhte hain,
Hum apne but ko, zulekha liye hai yusuf ko, Hai kon ronak-e-bazar chal ke dekhte hain,
Uss aik shakss ko dekho to aankh bharti nahin, Uss aik shakss ko har baar chal ke dekhte hain,
Woh mere ghar ka kare qassd jab to saaye se, Kayi qadam dar-o-deewaar chal ke dekhte hain,
Faraz aseer hai us ka ke woh faraz ka hai, Hai kon kis ka giraftaar chal ke dekhte hain..
Watch this Video Poetry »
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon