uzr ane main bhi hai aur bulate bhi nahin
bais-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin
khub parda hai ke chilman se lage baithe hain
saf chupate bhi nahin samane ate bhi nahin
ho chuka qata ta’lluq to jafayen kyon hon
jinko matlab nahin rahta wo satate bhi nahin
zist se tang ho ae Dag to jite kyon ho
jan pyari bhi nahin jan se jate bhi nahin
[recaptcha_form]

Hum unko bhula dein ye mumkin to nahin lagta
Her yaad mita dein ye mumkin to nahin lagta
Dhoka hi diya jisne her gam-e-tayalluk per
Hum usko sada dein ye mumkin to nahin lagta
Taswir sahi dil mein yadon ki basi hai to
Weeran bane dein ye mumkin to nahin lagta
Nisbat hai tere der se ab or kisi der per
Ser aapna jhuka dein ye mumkin to nahin lagta
Bimar huwa kiska oh jante hain aaquil
Per khaake-safa dein ye mumkin to nahin lagta
Matillah Aquil

Kam Aa Sakeen Na Apni Vafaayen To Kyaa Karen
Ik Bevafaa Ko Bhool Na Jaayen To Kyaa Karen

Mujh Ko Ye Etaraaf Duaaon Men Hai Asar
Jaaye Na Arsh Par Jo Duaayen To Kyaa Karen

Ik Din Ki Baat Ho To Use Bhool Jaayen Ham
Naazil Hon Roz Dil Pe Balaayen To Kyaa Karen

Shab Bhar To Un Ki Yaad Men Taare Ginaa Kiye
Taare-Se Din Ko Bhi Nazar Aayen To Kyaa Karen

Ahad-E-Tarab Ki Yaad Men Royaa Kiye Bahut
Ab Muskuraa Ke Bhool Na Jaayen To Kyaa Karen

Ab Ji Men Hai Ki Un Ko Bhulaa Kar Hi Dekh Len
Vo Baar Baar Yaad Jo Aayen To Kyaa Karen

Tark-E-Vafaa Bhi Jurm-E-Muhabbat Sahi "Akhtar"
Milne Lagen Vafaa Ki Sazaayen To Kyaa Karen

Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge
Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge
Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge
Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge
Ahmad Faraz

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiron mein mera naam to hai
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko 'Sabir'
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
Sabir Jalalabadi

Hans ke gham sehle magar gham ko muqadar na bana
Dil ko har haal main dil rehne de pathar na bana
Khwaab to khawaab hai tootega to dil tootega
Jhoothe khwabon se koi zakhm to dil par na bana
Aaj munh mod liya usne to ehsaas hua
Dil ye kehta raha har ek ko dilbar na bana..

rasta bhi kaThin, dhoop meiN shiddat bhi bohat thi
saaye se magar us ko mohabbat bhi bohat thi
kheme na koi mere musaafir ke jalaaye
zakhmi tha bohat paaoN musaafat bhi bohat thi
sab dost mre muntazir-e-parda-e-shab the
din meiN to safar karne meiN diqqat bhi bohat thi
barrish ki duaaoN meiN nami aaNkhi ki mil jaaye
jazbe ki kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi
kuchchh to tere mausam hi mujhe raas kam aaye
aur kuchchh mri miTTi meiN baghaawat bhi bohat thi
phooloN ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchchh is meiN hawaaoN ki siyaasat bhi bohat thi
is tark-e-rafaaqat pe pareshaaN to hooN lekin
ab tak ke tere saath pe hairat bhi bohat thi
khush aaye tujhe shehr-e-munaafiq ki ameeri
hum logoN ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi
Perveen Shakir

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon