Sar-e-maqtal teri shamsheer bahut yaad aayee
Qaid se choote tou zanjeer bahut yaad aayee
Jab kisi ne mujhe ulfat ki nazar se dekha
Teri aankhon ki woh taseer bahut yaad aayee
Diary mein woh gulabon ko chupa kar rakhna
Aye mohabbat teri jageer bahut yaad aayee
Maine socha hi na tha mil ke bichad jayega
Aina toota tou tasveer bahut yaad aayee
Jab hua khwab e mohabbat ka kabhi zikr yehan
Mujh ko ek khwab. Ki tabeer bahut yaad aayee
Haye woh aana pashema'n sa meri turbat par
Aane wale teri takheer bahut yaad aayee
Soch le phir na kahin kehna pade yeh tujh ko
Bujh gayee Shama tou tanveer bahut yaad aayee
Jo hai is chiragh ki zindagi woh zindagi ke khilaaf hai
Yeh chiragh kaisa chiragh hai jo roshni ke khilaaf hai
Yeh jala diya woh bujha diya yeh to kaam hai kisi aur ka
Na hawa ke koi khilaaf hai na hawa kisi ke khilaaf hai
Woh hai bewafa to wafa karo, jo asar na ho to dua karo
Jise chaho use bura kaho, yeh to dosti ke khilaaf hai
Woh jo dhoop thi woh simat gayi woh jo chandni thi bhikhar gayi
Magar ek jugnu, haqeer sa, abhi teergi ke khilaaf hai
Woh jo mere gham mein shareek tha, jise mera gham bhi aziz tha
Main jo khush hua to pata chala woh meri khushi ke khilaaf hai
Nawaz Deobandi
Sach Kah Doon Ae Barhman! Gar Tu Bura Na Mane
Tere Sanam Kadon Ke Butt Ho Gye Purane
Apnon Se Bair Rakhna Tu Ne Buton Se Sikha
Jang-o-Jadal Sikhaya Waaiz Ko Bhi Khuda Ne
Tang Aa Ke Main Ne Akhir Dair-o-Haram Ko Chora
Waaiz Ka Waaz Chora, Chore Tere Fasane
Pathar Ki Moorton Mein Samjha Hai Tu Khuda Hai
Khak-e-Watan Ka Mujh Ko Har Zarra Devta
Aa, Ghairat Ke Parde Ek Baar Phir Utha Dain
Bichron Ko Phir Mila Dain, Naqsh-e-Dooi Mita Dain
Sooni Pari Hui Hai Muddat Se Dil Ki Basti
Aa, Ek Naya Shiwala Iss Dais Mein Bana Dain
Dunya Ke Teerthon Se Ucha Huwa Apna Teerath
Damaan-e-Asman Se Iss Ka Kalas Mila Dain
Har Subah Uth Ke Gayen Mantar Woh Meethe Meethe
Sare Pujariyon Ko Mai Peet Ki Pila Dain
Shakti Bhi, Shanti Bhi Bhagton Ke Geet Mein Hai
Dharti Ke Basion Ki Mukti Pareet Mein Hai
View More Nazam of Allama Iqbal
Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai, Par nahin, taaqat-e-parwaaz magsr rakhti hai.
Qudsi-ul-asal hai, rif-atpe nazar rakhti hai, Khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai.
Ishq tha fitna gar-o-sarkash-o-chalaak mira, Aasman cheer gaya nala-e-bebaak mira.
_______________
Pir-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi! Bole sayyaare, sar-e-arsh-e-barin hai koi!
Chaand kahta tha, nahin, ahl-e-zamin hai koi! Kahkashaan kahti thi, poshida yahin hai koi!
Kuchh jo samjha tau mere shikwe ko Ruzwan samjha, Mujhe jannat se nikala hua insaan samjha.
_______________
Thi farishton ko bhi hairat, ke yeh aawaaz hai kya! Arsh waalon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya!
Taa sar-e-arsh bhi insaan ki tag-o-taaz hai kya? Aa gai khak ki chutki ko bhi parwaaz hai kya?
Ghaafil aadaab se yeh sukkaam-e-zamin kaise hain, Shokh-o-gustaakh yeh pasti ke makin kaise hain,
_______________
Is qadar shokh ke Allah se bhi barham hai, Tha jo masjud-e-malaik yeh wohi Aadam hai?
Aalam-e kaif hai, dana-e-ramuz-e-kam hai, Haan, magar ijaz ke asrar se namahram hai.
Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko, Baat karne ka saliqa nahin nadaanon ko!
_______________
Aai aawaaz ghum-angez hai afsana tira, Ashk-e-betaab se labrezhai paimana tira.
Shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne, Hum sakhun kar diyabandon ko khuda se tu ne.
Hum tau mayal ba-karam hai, koi sayal hi nahin, Rah dikhlain kise rahraw-e-manzil hi nahin.
_______________
Tarbiat aam tau hai, jauhar-e-qabil hi nahin, Jis se taamir ho aadam ki yeh who gil hi nahin.
Koi qabil ho tau hum shan-e-kai dete hain; Dhoondne waalon ko duniya bhi nai dete hain!
Haath be-zor hain, ilhaad se dil khoo-gar hain, Ummati baais-e-ruswai-e-paighamber hain.
_______________
But-shikan uth gaye, baaqi jo rahe but-gar hain, Tha Brahim pidar, aur pisar Aazar hain.
Bada aasham naye baaqi naya khum bhi naye, Harm-e-Kaaba naya, but bhi naye, tum bhi naye.
Who bhi din the ke yehi maya-e-raanai tha, Naazish-e-mausim-e-gul lala-e-sahraai tha!
_______________
Jo Musalmaan tha Allah ka saudai tha, Kabhi mehboob tumhara yehi harjaai tha.
Safah-e-dahar se baatil ko mitaya kis ne? Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya kis ne?
Mere Kaabe ko jabeenon se basaya kis ne? Mere Quran ko seenon se lagaya kis ne?
_______________
The tau aaba who tumhaare hi, magar tum kya ho? Haath par haath dhare muntezir-e-farda ho!
Kya kaha? "bahr-e-musalmaan hai faqt waade-e-hur," Shikwa beja bhi kare koi tau laazim hai shaoor!
Adal hai faatir-e-hasti ka azal se dastur, Muslim aaeen hua kafir tau mile hur-o-qasur;
_______________
Tum mein hooron ka koichahne wala hi nahin, Jalwa-e-tur tau maujood hai, Moosa hi nahin.
Munfait ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek, Ek hi sab ka nabi, din bhi, imaan bhi ek,
Harm-e-paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek, Kuchh bari baat thi hote jo musalmaan bhi ek!
_______________
Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain. Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain?
Jaa ke hote hain masaajid mein saf-aara tau gharib, Zahmat-e-roza jo karte hain gawara tau gharib.
Naam leta hai agar koi hamara, tau gharib, Pardah rakhta hao agar koi tumhara, tau gharib.
_______________
Umra nasha-e-daulat mein hain ghafil hum se, Zinda hai millat-e-baiza ghurba ke dam se.
Shor hai ho gaye duniya se musalmaan naabood, Hum yeh kahte hain ke the bhi kahin Muslim maujood?
Waza mein tum ho nisari, tau tamuddan mein Hanood, Yeh musalmaan hain! Jinhen dekh ke sharmain Yahud?
_______________
Baap ka ilm na bete ko agar azbar ho, Phir pisar qabil-e-miraas-e-pidar kyonkar ho!
Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan aasaani hai, Tum musalmaan ho? Yeh andaaz-e-musalmaani hai?
Chaahte sab hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem, Pahle waisa koi paida tau kare qalb-e-salim!
_______________
Ahd-e-nau barq hai, aatish zan-e-har khirman hai, Aiman is se koi sahra no koi gulshan hai.
Is nai aag ka aqwaam-e-kuhan eendhan hai, Millat-e-khatam-e-rasal shoula ba parahan hai.
Dekh kar range-e-chaman ho na pareshan maali, Kookab-e-ghuncha se shaakhen hain chamakne wali,
_______________
Khas-o-khashaak se hota hai gulistan khaali, Gul bar andaaz hai khun-e-shuhda ki laali.
Rang gardoon ka zara dekh tau unnabi hai, Yeh nikalte hue suraj ki ufaq taabi hai.
Nakhl-e-Islam namoona hai bro-mandi ka, Phal hai yeh sainkron saalon ki chaman bandi ka.
_______________
Qaafila ho na sakega kabhi weeran tera, Ghair yak baang-e-dara kuchh nahin samaan tera.
Nakhl-e-shama asti-o-dar should dood resha-e-tu, Aaqbat soz bood saya-e-andesha-e-tu.
Ki Mohammed se wafa tu ne tau hum tere hain, Yeh jahan cheez hai kya, lauh-eo-qalam tere hain.
_______________
More Ghazal by Allama Sir Mohammad Iqbal
Duniya Ki Mehfilon Se Uktaa Gya Hoon Ya Rabb
Kya Lutf Anjuman Ka, Jab Dil Hi Bujh Gya Ho?
Shorish Say Bhaagta Hoon, Dil Dhoondta Hai Mera
Aisa Sakoot Jis Par Taqdeer Bhi Fidaa Ho
Marta Hoon Khamoshi Par, Yeh Aarzoo Hai Meri
Daaman Mein Koh Ke, Ik Chotaa Saa Jhonpra Ho
Azaad Fikr Se Hoon, Uzlat Mein Din Guzaaroon
Dunya Ke Gham Ka Dil Se Kaanta Nikal Gya Ho
Lazzat Sarod Ki Ho Chiriyon Ke Chehchehon Mein
Chashme Ki Shorish Mein Baaja Saa Baj Raha Ho
Gul Ki Kali Chitak Kar Paighaam Day Kissi Ka
Saaghar Zara Saa Goya, Mujhko Jahaan-Numa Ho
Ho Haath Ka Sarhana, Sabza Ka Ho Bachoona!
Sharmaaye Jis Se Jalwat, Khlawat Mein Woh Ada Ho
Maanoos Is Qadr Ho Soorat Se Meri Bulbul
Nannhay Se Dil Mein Us Kay Khatka Na Kuchh M'ra Ho
Saf Baandhay Donon Jaanib Bootay Haray Haray Hon
Nadi Ka Saaf Paani Tasveer Lay Raha Ho
Ho Dilfareb Aisa Kohisaar Ka Nazaara
Paani Bhi Mawj Ban Kar Uth Uth Kay Dekhta Ho
Aaghosh Mein Zameen Ki Soya Huwa Ho Sabza
Phir Phir Kay Jhariyon Mein Paani Chamak Raha Ho
Paani Ko Choo Rehi Ho Jhuk Jhuk Ke Gul Ki Tehni
Jaisay Haseen Koi Aa'ina Dekhta Ho
Mehndi Lagaaye Sooraj Jab Shaam Ki Dulhan Ko
Surkhi Liye Sunehri Har Phool Ki Qabaa Ho
Raaton Ko Jalne Waalay Reh Jaain Thak Kay Jis Dum
Umeed Unki Mera Toota Huwa Diya Ho
Bijlee Chamak Kay Unko Katiya M'ri Dikhaa De
Jab Aasmaan Pe Har Soo Baadal Ghara Huwa Ho
Pichle Pehr Ki Koy'al, Woh Subah Ki Muazzin
Main Uska Hum-Navaa Hoon, Woh Meri Hum-Nava Ho
Kaanon Pe Ho Na Mere Dair O Haram Ka Ihsaan!
Rozan Hi Jhonpree Ka, Mujhko Sehr-Numa Ho
Phoolon Ko Aaye Jis Dam Shabnam Wuzu Karne
Rona Mera Wuzu Ho, Naala Meri Dua Ho!
Is Kham'shi Mein Jaain Itne Buland Naalay
Taaron Kay Qaafilay Ko Meri Sadaa Dara Ho
Har Dardmand Dil Ko Rona Mera Rulaa Day
Bayhosh Jo Paray Hain Shaayad Inhein Jagaa Day
View More Ghazal of Allama Iqbal
Ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhayenge
Royenge bahut lekin aansu nahin ayenge
Kah dena samandar se ham os key moti hain
Darya ki tarah tujh se milne nahin ayenge
Wo dhoop key chhappar hon ya chhaon ki deewaren
Ab jobhi uthayenge mil jul key uthayenge
Jab saath na de koi aawaz hamein dena
Ham phool sahi lekin patthar bhi uthayenge
Bashir Badr
"Bay Khatar Kood Para Aatish-e-Namrood Main Ishq""Aqal Hay Mehew-e-Tamashaye Lab-e-Baam Abhi"
-------------------------
Ishara to madad ka hi kr rha tha doobne wala, Mager Yaraan-e-sahil nay salam-e-alwida samja.!
------------------------
baatil ke eqtedaar me hai insaaf ki arzoo... kitna haseen fareb hai jo khaye hue hain hum
------------------
is ped se kisi ko shikayat na thi magar Ye ped sirf bich me ane se cut gya
Ek ishq hi ilaaj gam-e-zindagi nahi, Duniya aor bhi hai taqaze hayaat k.
---------- Sajda-E-Shukar Baqi tha, Shukar Ki na Mili Mohlat... K Umar Beet Gaee "Ya RaB" Tere Ehsaan GintE-GintE ----------- Utha Ke Aidiaan Chalne Se Qad Nahi Badhta... Keh do Mere Raqeeb Se Ki Apni Auqaat Me Rahe...... -------- Zindagi bhar sath dene ki qasam khao na tum MaiN ne saayeon ko bhi dekha hai juda hotay huey -------- Kabi Jo Ghabra Jao Dunia Ki Vehshaton Sey Humen Awaaz De Lena Akele Hum Bi Hote Han! ---------
Mohabbat kerny walon ko koee rasta nahi deta, Zameen waqif nahi banti ,falak saya nahi deta,
Udasi jis k dil mein ho usi ki neend urrti hae, kisi ko apni aankhon ka koee sapna nahi deta,
Khushi or dukh k mosam sab k apny apny hoty haen, Kisi ko apny hissey ka koee lamha nahi deta,
Uthana khud hi parrta hae thaka toota badan apna, K jab tak saans chalti hae ,koee kandha nahi deta. ------------- Perveen Shakir: Abhi kamsin ho, rehne do, kahin kho do gey dil mera, Tumhare he liye rakha hai, ley jana jawaan ho kar....
Mohsin Naqvi: Na kamsin hon, na nadaan hon, mohabbat ko samajhta hon, Tmhara kia bharosa hai, mukar jao jawan ho kar...
---------------- Usse bichar kar baqi to sab theek hai lekin.. jahan dil tha kabhi pehle wahan ab dard rehta hai...!!! ------------- Alwida kehtay huay jab maine us say maangi koi nishani Wo muskura k boli k meri judai he kaafi hai tujhay rulanay k liye ----------- Anaa kehti ha , bar bar mujh se woh muhabbat he kia ? jo iltija se mile ----------- Nazar Se Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Me Rehna Kisi K Pas Rehny Ka Tareeqa Ho To Aesa Ho.......! ----------- Karni ho mohabbat to phir sochaa nahi karte, Anjaam ho jaisa bhi ye dekha nahi karte ... !
Himmat na ho ladne ki to Aye jaan-e-wafaa sun, Yun ishq ke maidan main utra nahi karte ... !! ... ... Hote hain khuddar wohi log jahan mein,,,,,,,, Jo mar jate hain magar apne PYAR se dhoka nahi karte ... ------------- Mein or us ko bhool jaon,kaisi batain kertay ho Soorat to phir soorat hay,wo naam b pyara lagta hai ..... -------
****************
Phool Shaak Se Bichre To Kaheen Ka Nahi Rehta “Faraz” Tum Khud Ko Juda Meri Zaat Se Soch K Karna………
****************
Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh dekha tu ne, Kiss qadar hauslaa haarey huye insaan mein hai..
****************
Yun phir raha hai kaanch ka peiker liye howey Ghafil ko yeh gumaan hai ke pathar na aye ga
*****************
Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa “faraz” Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna…
***************
Is qadar qemti to na tha mera chain-o-Sakon Faraz Loot kr lay gya wo kissi anmol khazany ki tarah..
****************
Tu idhar udhar ki na baat kar, yeh bata k qaafla kion luta Mujhay rehzano'n say gila nahi,Taire rehbari ka sawal hai
Firaq Jalalpuri
****************************
Arz e gham karte bhi to kya, haal sunate kaise Guftagu aap ne markooz fiqa par rakkhi Is se pahle K karun kam nigahi ka shikwa Usne tohmat meri be-bak nigah par rakkhhi
Mozaffar Hanfi
******************
Pasbaani pe andhere ko to ghar par rakkha Aur chiraghoN ko teri raahguzar par rakkha
Parveen Shakir
*************************************
mery hathoon main jo hota sooraj ka nizaam tumhari rahoon main kabhi dhoop na anay detaa *************************************** Dil Gumsum, Zuban Khamosh Yeh Aankhen Aj Num Kyun Hai Jinhe Kabhi Paya Hi Na Tha Unhe Aaj Khone Ka Gum Kyun Hai ***************************************** zebt-a-gum koi asan kam nahe hai FARAZ aag hoty hain wo anso jo piay jaty hain *********************************** Adab ki baat hai warna aye Doost zara sochoo too Jo Shakhas suntaa hoo woo bool bhi saktaa hai..... ************************************************ aik naam kia likha tera sahil ki rait perr phir umer bhar samndar say meri dushmani rahi ************************************************ wo muj say kaheen bar k museebat main tha "Mohsin" reh reh k magar us ka DILASA mujay dayna....! *********************************************** zikar us gharatat e marium jab aata ha faraz ghantian bagee hain lafzoon ka kaleesaoon main **************************************** haath uljhay huye resham mai phansa baithey hain ab bata kaun se dhagay ko juda kis se karain ******************************************* aap berham hi sahi baat to karlain hum se kuch na kehnay se muhabbat ka gumaan hota hai ******************************************* bholay se muskura to diye they woh aaj faiz mat pooch walwalay dil nakardah kaar k ***************************** tum takullluf ko bhi ikhlaas samajhte ho Faraz dost hota nahi hur haath milane waala **************************************** Teri Kam Goi Kay Charchey Hein Zamanay Bhar Main ... Kis Say Seekha Hay You Baaton Ki Wazahat Karna ... ******************************* AANKHEN KHULI TO JAAG UTHEEN HASRATEIN TAMAM LO UNKO B KHODIYA JINHEN PAYA THA KHUWAB MAIN **************************************** kasa e deed me bus ek jhalak ka siqa hum faqeeron ki qanaat se tujhay dekhtay hain ********************************************* Nahi hai taj - shahi ki zarooorut meri maa ka mujhe saaya bohut hai ***************************************** Lipta Hua Kohar Mein Jaisy Khizaa'n Ka Chaand Mailey Libaas Mein Bhi Woh Pyara Bohat Laga ***************************************** Main uss ko dekta rahta tha hairato se Faraz Ye zindagi se taaruff ki ibtedaa thi meri ************************************** Bana kar gariboo ka hum bhes galib Tamasha-e-ahel-e-karam dekhte hain. ************************************* Jin se milkar zindagi se pyar hojaye wo log Aapne shayad na dekhe hon magar aise bhi hain
************************************************* or kuch nahi hota to bhari barish main tujh se bichhrey huye raston pe safar karti hun ************************************************* ik tarz e taghaful hai so woh tum ko mubarak ho ik arz e tamanna hai so woh hum kartey rahain gay ************************************************* main zindagi se na khul saka is liye mohsin k bahtey paani pe kab talak eitebaar karta ************************************************** Khataein daikhta b hai wafain kum nai krta, samjh kuch nai atta k wo shaqz itna meherban kiun hai??. *************************************************** meray hathon ki lakeero k izafay hy gawah k ma ne pather ki tarah khud ko tarasha hy buht ***************************************** tAaroof k lie apne bus yahi aik baat kaafi hai woh rusta chhor dete hain jo rusta aam hota hai ******************************************************* Ma'r bhee jaon tu kahan laug bhula hee dain gai... Lafz mairay, mairay honay kee gawahee dain gai... ****************************************** Kiya maza daitii hay bijlee ki chamak mujhko Ali Mujh say Liptay hain meray naam say darnay walay ******************************************* zinda rehnay k liye zeest ki koi aas to ho warna be-aas jeena to giraa.n hota hai
*******************************************
Sakoon e dil k liye main kahaN kahaN na gayi
Magar yeh dil k sadaa us ki anjuman mein raha
Perveen Shakir
*******************************************
Agar wo puch len hum se tumhe kis bat ka gham hai
to phir kis bat ka gham hai agar wo puch len hum se
*******************************************
Phir unki gali me jayega, phir sahav ka sajda karlega
Is dil per bharosa kon kare her roz musalman hota hai
**********************************************
Khaamosh aay dil bhari mehfil main chillana nahi achaa Adab pehla qareena ha mohabbat k qareenon main
Allama Iqbal
**********************************************
Yahan mazdoor ko marnay ki jaldi yoon bhi ha mohsin Ky zindage ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaay
**************************************************
Wo aaye ghar me.n hamaare Khudaa ki qudrat hai kabhi ham un ko kabhi apne ghar ko dekhte hai.n
****************************
Wo saare phool se chehre talash-e-rizq mein gum hein
jinhein titli pakarna hai jinhein school jana hai
***************************
KAR BALA NAHI LEKIN JHOOT OUR SADAQAT MEIN
KAL BHI JUNG JAARI THI, AB BHI JUNG JAARI HAI
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon