sab log liye sang-e-malamat nikal aaye
kis shahar men ham ahal-e-muhabbat nikal aaye
ab dil ki tamannaa hai to ai kaash yahi ho
aaNsoo ki jagah aaNkh se hasrat nikal aaye
har ghar ka diyaa gul na karo tum ke na jaane
kis baam se Khurashid-e-qayaamat nikal aaye
jo dar_paa-e-pindaar hain un qatl_gahon se
jaaN deke bhi samjho ke salaamat nikal aaye
ai ham_nafason kuchh to kaho ahad-e-sitam ki
ik harf se mumkin hai hikaayat nikal aaye
yaaro mujhe masalub karo tum ke mere baad
shaayad ke tumhaaraa qad-o-qaamat nikal aaye
By : Ahmad Faraz

Writer