Ahmad Faraz, the name that resonates with poetry enthusiasts, stands as a towering figure in the realm of Urdu literature. Born as Syed Ahmad Shah in Kohat, British India, on January 12, 1931, Faraz became one of the most celebrated and beloved poets of his time. His profound words, rich metaphors, and poignant expressions captured the hearts and minds of countless readers, cementing his legacy as a master poet.

Faraz's poetry is characterized by its depth, intensity, and the ability to touch the deepest recesses of the human soul. His verses delve into themes of love, loss, longing, revolution, and social justice, reflecting the trials and tribulations of the society he lived in. Faraz possessed an uncanny talent for weaving together words that evoked strong emotions, often stirring a sense of longing, melancholy, or hope within his readers.

One of the distinctive aspects of Faraz's poetry is his mastery of the ghazal form. He revitalized this traditional poetic form, infusing it with his unique style and contemporary sensibilities. His ghazals are replete with captivating imagery, thought-provoking symbolism, and a lyrical quality that sets them apart. Faraz had an innate ability to capture the nuances of human relationships, particularly the bittersweet nature of love, with remarkable finesse.

Throughout his poetic journey, Faraz remained a voice of dissent and resistance. His verses became a powerful medium to criticize social and political injustices, and he fearlessly confronted the prevailing power structures of his time. He spoke for the downtrodden, the marginalized, and the voiceless, embodying the spirit of a true poet-activist.

Faraz's poetry not only resonated within the confines of his native Pakistan but transcended borders, touching the hearts of Urdu poetry enthusiasts worldwide. His words became an integral part of the cultural fabric, inspiring generations and leaving an indelible mark on the literary landscape.

Ahmad Faraz breathed his last on August 25, 2008, leaving behind a rich body of work that continues to inspire and captivate readers to this day. His verses remind us of the power of words, the beauty of language, and the profound impact that poetry can have on society.

In the realm of Urdu poetry, Ahmad Faraz's name shines like a radiant star, forever illuminating the hearts of those who seek solace, inspiration, and an unfiltered expression of the human experience. His legacy remains an eternal testament to the enduring power of poetry to touch the very core of our existence.

Shair kisi ke hijr main kehnaa sirf visaal kisi se, Hum bhi kya hain, dheyaan kisi ka aur sawal kisi se..

Aa ke ab tasleem karlen tu nahin to main sahi, Kon maaney ga ke hum mein se bewafa koi nahi..

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi

Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki
Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?
Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ?
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki
Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki

Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath
Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath
Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath
Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath
Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath

Doobty doobty kashti ko saahil pe uchaal doon ga, Mein nahi koi to saahil pe utar jaye ga..

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ? Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz” Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz” Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere

Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey, Halqat*-e-sheher to kehne ko fasaaney mangey..
(halqat;public)