Deep jis ka mahalat hi mein jale
Chand logon ki khushiyon ko le ke chale
Woh jo saaye mein har maslehat ke pale
Aisay dastoor ko, subah be-noor ko
Main nahin maanta, main nahin jaanta
Main bhi khaif nahin takhta-e-dar se
Main bhi Mansoor hoon, keh do aghyar se
Kyun darate ho zindan ki deewar se?
Zulm ki baat ko, jahl ki raat ko
Main nahin maanta, main nahin jaanta
Phool shakhoon pe khilne lage tum kaho
Jaam rindon ko milne lage tum kaho
Chaak seenon ke silne lage tum kaho
Is khule jhoot ko, zehan ki loot ko
Main nahin maanta, main nahin jaanta
Tum ne loota hai sadiyon hamara sukoon
Ab na hum par chale ga tumhara fusoon
Chara gar main tumhara nahin chara hoon
Jhoot ke qafle, zulm ke saathiyo
Main nahin maanta, main nahin jaanta