Ajam ke shahroN meN ek shahar  ka hai ye  qissa
Yeh raft O bood ka ek silsilaa jo qaayam hai
BhaNvar meN jis ke har ek cheez doob jaati hai
Suna hai us meN kisi qasbe ka rayees baRa
PhaNsa kuchh aisa, koi chaal kaargar na hui
Har ek tibbee madad, har dawa, ilaaj, gharaz
Woh sab jo qabza E insaan O mumkinat meN tha
Kiya, tamam maseeha qareeb O door jo the
Talab kiye gaye, sab ko zar E kaseer diya
Magar khuda ko jo manzoor tha woh ho ke raha
Ajal ne beTe se mahboob baap chheen liya
Khabar yeh phail gayi door paas pal bhar meN
Har ek rota tha zaar O qataar sun sun kar
Pisar ke bain ka dil par asar shadeed hua
Woh seena peet ke kahta tha baar baar, ‘Pidar!
Chale ho aisi jagah chhoR kar hameN sab ko
JahaaN na dost na hamdam na koi hai munis
Andheri kothri hogi, akele rahna hai
Na khana paani jahaaN hai na roushni ka guzar
WahaaN pe jaisi bhi guzregi khud hi sahna hai
Har ek chez ko tarsoge haaye haaye wahaaN
Koi madad ko na aayega aisi duniyaa hai!!’
Ghareeb bhi koi shamil tha us janaaze meN
Aur apne noor E nazar ko bhi saath laaya tha
Suni jo aah O buka us ne kuchh nahi samjha
Palat ke baap se poochha bahut hi saadgi se
‘Hamare ghar liye jaate haiN kya unheN baba?’

kisi ka dard ho dil beqarar apna hai
hava kaheen ki ho seena figar apna hai
ho koi fasl magar zakhm khil hi jatay hain
sada bahar dil-e-daghdar apna hai
jo shaAd phirtay thay kal aaj chup k rotay hain
hazar shukr gham-e-paidar apna hai
na tang kar dilay mehzon ko ay gham-e-dunya
khudai bhar main yehi gham gusar apna hai
wo koi apnay siwa ho tu es ka shikwa karon
judai apni hai aur intezar apna hai

MUSLIM NE TAMEER KIA APNA HARAM OR
TEHZEEB KE AZAR NE TARASHWAE SANAUM OR
IN TAZA KHUDAUN MEIN BARRA SAB SE WATAN HAY
JO PERHAN IS KA HAY WO MAZHAB KA KAFAN HAY
YEH BU'T KE TARASHEEDA'E TEHZEEB'E NAV'EE HAY
GHARAT GARE KASHANA'E DEEN'E NABAVI(PBUH) HAY
BAZOO TERA TOHID KI QOOAT SE QAVI HAY
islam TERA DES HAY TU mustafavi HAY
NAZARA'E DEREENA ZAMANE KO DIKHA DE!!!!
AE MUSTAFAVI KHAK MEIN IS BU'T KO MILA DE!!!
HO QA'DE MUQAMI TO NATEEJA HAY TABAHI
REH BEHAR MEIN AZAD'E WATAN SOORAT'E MAHI
HAY TARKE WATAN SUNNAT'E MAHBOOB'E ILAHI(PBUH)
DE TU BHI NABUWAT KI SADAQAT PE GAVAHI
GUFTAR'E SIASAT MEIN WATAN OR HI KUCH HAY
IRSHAD'E NABUWAT MEIN WATAN OR HI KUCH HAY
AQWAME JAHAN MEIN HAY RAQABAT TO ISI SE
TASKHEER HAY MAQSOODE TIJARAT TO ISI SE
KHALI HAY SADAQAT SE SIASAT TO ISI SE
KAMZOR KA GHAR HOTA HAY GHARAT TO ISIS SE
IQWAM MEIN MAKHLOOQ'E KHUDA BAT'TI HAY IS SE
qomee'at'e islam KI JAR KAT'TI HAY IS SE

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah