misaal iski kahaa.N hai zamaane me.n
ki saare khone ke Gam paaye hamne paane me.n
vo shakl pighli to har shai me.n Dhal gai jaise
ajib baat hui hai use bhulaane me.n
jo muntazir na milaa vo to ham hai sharmindaa
ki hamne der lagaa dii palaT ke aane me.n
latif tha vo taKhaiyyul se, Khvaab se naazuk
gavaa diyaa hamne hi use aazmaane me.n
samajh liyaa thaa kabhi ek sairaab ko dariyaa
par ek sukuun thaa hamako fareb khaane me.n
jhukaa daraKht havaa se, to aa.Ndhiyo.n ne kahaa
ziyaadaa farq nahi.n jhuk ke TooT jaane me.n

justaju khoye huon ki umr bhar karte rahe
chaaNd ke ham_raah ham har shab safar karte rahe
raaston kaa ilm thaa ham ko na simton ki Khabar
shahar-e-naamaalum ki chaahat magar karte rahe
ham ne Khud se bhi chhupayaa aur saare shahar se
tere jaane ki Khabar dar-o-divaar karte rahe
vo na aayegaa hamen maalum thaa us shaam bhi
intazaar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
aaj aayaa hai hamen bhii un uDaanon kaa Khayaal
jin ko tere zaum men be-baal-o-par karate rahe
Perveen Shakir

kuu-ba-kuu phail gai baat shanaasaai ki
us ne Khushbuu ki tarah meri paziraai ki
kaise kah duuN ki mujhe chhoD diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaai ki
vo kahin bhi gayaa lauTaa to mere paas aayaa
bas yahi baat hai achchhi mere harajaai ki
teraa pahalu tere dil ki tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaai ki
us ne jalati hui peshaani pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gai taasir masihaai ki
Perveen Shakir

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai

chaman Men ikhtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
ham hi ham hain to kya ham hain tum hi tum ho to kya tum ho

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah